bhaarat-mata
dehātī rastoñ pe chaltī
shahroñ kī saḌkoñ pe Tahaltī
sar par chikne chikne ghaḌe haiñ
haath meñ motī kañgan jaḌe haiñ
us ke pīchhe bachche hī bachche
chhoTe chhoTe paañv baḌhāte
us ke jaane par rote haiñ
maañ ghar aatī ḳhush hote haiñ
hai vo bhārat-mātā apnī
sab se pyārī sab se achchhī
sach-much kī ye maañ hai apnī
jaan fidā kar dene vaalī
sachchā pyaar dikhāne vaalī
ḳhuun aur duudh pilāne vaalī
is kī hathelī kaisī ghisī hai
jaise vo fikroñ meñ pisī hai
khetī armānoñ kī harī hai
bachchoñ se is kī god bharī hai
bhārat maañ hai bhārat maañ hai
bhārat maañ hai bhārat maañ hai
dehati raston pe chalti
shahron ki saDkon pe Tahalti
sar par chikne chikne ghaDe hain
hath mein moti kangan jaDe hain
us ke pichhe bachche hi bachche
chhoTe chhoTe panw baDhate
us ke jaane par rote hain
man ghar aati KHush hote hain
hai wo bhaarat-mata apni
sab se pyari sab se achchhi
sach-much ki ye man hai apni
jaan fida kar dene wali
sachcha pyar dikhane wali
KHun aur dudh pilane wali
is ki hatheli kaisi ghisi hai
jaise wo fikron mein pisi hai
kheti armanon ki hari hai
bachchon se is ki god bhari hai
bhaarat man hai bhaarat man hai
bhaarat man hai bhaarat man hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.