bhik shabnam ki
maiñ raushnī kā numā.inda raushnī kā safīr
har ek daur meñ hamla kiyā añdheroñ ne
kabhī salīb kī raunaq banā hai jism mirā
kabhī laboñ pe lagāyā hai maiñ ne zahr kā jaam
dahaktī aag meñ kundan banā badan merā
hirā ke ġhaar kī pākīzgī pukārtī hai
salām kartī hai mere junūñ ko vādī-e-nīl
maiñ raushnī kā safīr
na.ī sahar kā daraḳhshanda āftāb banā
añdhere dasht meñ pūnam kā chāñd ban ke khulā
mire lahū se hai qaa.em suhāg hastī kā
mirī kiran se hai tābinda kā.enāt kā ruup
naved-e-sub.h daraḳhshāñ adā-e-fasl-e-bahār
dhanak kī dilkashī ḳhushbū-e-gul shamīm-e-chaman
mire hī ḳhuun se hai ābrū-e-rang-e-hayāt
magar nasīb meñ mere hai zulmat-e-pur-haul
maiñ raushnī kā numā.inda raushnī kā safīr
ḳhud apne dard kī zulmat ke daam meñ huuñ asiir
mire vajūd kā patthar sulag rahā hai jise
maiñ apne ashk kī shabnam kī bhiik detā huuñ
main raushni ka numainda raushni ka safir
har ek daur mein hamla kiya andheron ne
kabhi salib ki raunaq bana hai jism mera
kabhi labon pe lagaya hai main ne zahr ka jam
dahakti aag mein kundan bana badan mera
hira ke ghaar ki pakizgi pukarti hai
salam karti hai mere junun ko wadi-e-nil
main raushni ka safir
nai sahar ka daraKHshanda aaftab bana
andhere dasht mein punam ka chand ban ke khula
mere lahu se hai qaem suhag hasti ka
meri kiran se hai tabinda kaenat ka rup
nawed-e-subh daraKHshan ada-e-fasl-e-bahaar
dhanak ki dilkashi KHushbu-e-gul shamim-e-chaman
mere hi KHun se hai aabru-e-rang-e-hayat
magar nasib mein mere hai zulmat-e-pur-haul
main raushni ka numainda raushni ka safir
KHud apne dard ki zulmat ke dam mein hun asir
mere wajud ka patthar sulag raha hai jise
main apne ashk ki shabnam ki bhik deta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.