bholi-bhaali chiDiya
ai pyārī pyārī chiḌiyā
sūrat mujhe dikhā jā
bholī sī terī sūrat
dil meñ basī hai mūrat
nannhī sī choñch terī
kaisī bhalī hai lagtī
ik raag tū sunā jā
ai bholī-bhālī chiḌiyā
shāḳhoñ pe baiThī baiThī
ānand se chahaktī
kis ko hai yaad kartī
dam kis kā tū hai bhartī
duniyā ke nek-o-bad se
kiine se aur hasad se
tujh ko nahīñ ḳhabar kyā
ai bholī-bhālī chiḌiyā
pattoñ pe chahchahānā
aur dil ko yuuñ lubhānā
uḌnā ye Daalī Daalī
kab lutf se hai ḳhālī
kyā paak zindagī hai
kyā shāñtī ḳhushī hai
bhātā hai raag terā
ai bholī-bhālī chiḌiyā
kyā mīThī rāgnī hai
kyā shakl mohnī hai
terī ye chuuñ chuuñ pyārī
aur phirnā kyārī kyārī
terā phudaknā har dam
aur bolnā gajar dam
tujh se hai ghar suhānā
ai bholī-bhālī chiḌiyā
vo sub.h kā jhamkaḌā
mil-jul ke aur vo gaanā
vo shaam kā baserā
dil ko bhalā hai lagtā
chhat meñ vo ghoñsla hai
vo bhī bahut bhalā hai
har Dhang terā pyārā
ai bholī-bhālī chiḌiyā
nādān bachche tū kyā
jānegā us kā kahnā
chiḌiyā jo boltī hai
aur motī roltī hai
maḳhlūq hai ḳhudā kī
hastī hai ye vafā kī
kartī hai zikr rab kā
ye bholī-bhālī chiḌiyā
ai pyari pyari chiDiya
surat mujhe dikha ja
bholi si teri surat
dil mein basi hai murat
nannhi si chonch teri
kaisi bhali hai lagti
ek rag tu suna ja
ai bholi-bhaali chiDiya
shaKHon pe baiThi baiThi
aanand se chahakti
kis ko hai yaad karti
dam kis ka tu hai bharti
duniya ke nek-o-bad se
kine se aur hasad se
tujh ko nahin KHabar kya
ai bholi-bhaali chiDiya
patton pe chahchahana
aur dil ko yun lubhana
uDna ye Dali Dali
kab lutf se hai KHali
kya pak zindagi hai
kya shanti KHushi hai
bhata hai rag tera
ai bholi-bhaali chiDiya
kya miThi ragni hai
kya shakl mohni hai
teri ye chun chun pyari
aur phirna kyari kyari
tera phudakna har dam
aur bolna gajar dam
tujh se hai ghar suhana
ai bholi-bhaali chiDiya
wo subh ka jhamkaDa
mil-jul ke aur wo gana
wo sham ka basera
dil ko bhala hai lagta
chhat mein wo ghonsla hai
wo bhi bahut bhala hai
har Dhang tera pyara
ai bholi-bhaali chiDiya
nadan bachche tu kya
jaanega us ka kahna
chiDiya jo bolti hai
aur moti rolti hai
maKHluq hai KHuda ki
hasti hai ye wafa ki
karti hai zikr rab ka
ye bholi-bhaali chiDiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.