bhuk
ek khā.ūñ
do khā.ūñ
yā tiin khā.ūñ
sunñe vaale shaiḳh-chillī kī ye baat hañsī meñ Taal ga.e
tāham us ne dajla-o-furāt kā paanī piyā
aur abbāsiyoñ ke ugaa.e hue anaaj se banī roTī khaa.ī
ek ek luqma halaq se utārte hue
dūsrī roTī par jhapTā
ek khā.ūñ
do khā.ūñ
yā tiin khā.ūñ
saarī duniyā chaukannī thī lekin ḳhāmosh
chañd billiyāñ ġhurrā.īñ
to un ke sāmne kuchh TukḌe Daal diye ga.e
amn-e-ālam kī baqā ke liye
shaiḳh-chillī kī nazar ab tīsrī roTī par hai
us kā anaaj kahāñ se aayā
kin dariyāoñ ne use gūñdhā
aañch kis chūlhe kī lagtī hai
tavā kis lohe kā banā hai
shaiḳh-chillī bhuuk baḌhtī hī jā rahī hai
sunñe vaale us kī baat ab hañsī meñ nahīñ Tālte
balki sahm jaate haiñ aur sochte haiñ
vo chauthī roTī kaun sī hai
jo shaiḳh-chillī kā luqma banñe vaalī hai
ek khaun
do khaun
ya tin khaun
sunne wale shaiKH-chilli ki ye baat hansi mein Tal gae
taham us ne dajla-o-furaat ka pani piya
aur abbasiyon ke ugae hue anaj se bani roTi khai
ek ek luqma halaq se utarte hue
dusri roTi par jhapTa
ek khaun
do khaun
ya tin khaun
sari duniya chaukanni thi lekin KHamosh
chand billiyan ghurrain
to un ke samne kuchh TukDe Dal diye gae
amn-e-alam ki baqa ke liye
shaiKH-chilli ki nazar ab tisri roTi par hai
us ka anaj kahan se aaya
kin dariyaon ne use gundha
aanch kis chulhe ki lagti hai
tawa kis lohe ka bana hai
shaiKH-chilli bhuk baDhti hi ja rahi hai
sunne wale us ki baat ab hansi mein nahin Talte
balki sahm jate hain aur sochte hain
wo chauthi roTi kaun si hai
jo shaiKH-chilli ka luqma banne wali hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.