bhuke peT
ruktī sāñseñ haiñ aur siinā
maut ke paañv tale hai jiinā
oghaT ghaaT bhañvar ke chakkar
Dag-mag hai jīvan kā safīna
ġham aur aañsū aañsū aur ġham
ġham khānā aur aañsū piinā
barkhā-rut vīrānoñ kī hai
chāñdnī qabristānoñ kī hai
man meñ lahr kabhī uThtī thī
baat ye ab afsānoñ kī hai
jaise saa.e reñg rahe hoñ
hālat ye insānoñ kī hai
ham se ġhāfil taqdīreñ haiñ
be-dast-o-pā tadbīreñ haiñ
ḳhushk laboñ kī murda aaheñ
bhūke peT kī tafsīreñ haiñ
kaise kaheñ ham bhī jiite the
ab to be-jāñ tasvīreñ haiñ
jiite haiñ aur mar nahīñ sakte
bebas haiñ kuchh kar nahīñ sakte
phūloñ kī ḳhushbū aatī hai
dāman un se bhar nahīñ sakte
duniyā duniyā kahne vaale
duniyā apnī kar nahīñ sakte
sab kā pālanhār kidhar hai
duniyā us kā hī to hunar hai
bane khilaune TuuT rahe haiñ
uf ye gharauñdā zer-o-zabar hai
kuchh rote haiñ kuchh hañste haiñ
aur phir donoñ kā ye ghar hai
rukti sansen hain aur sina
maut ke panw tale hai jina
oghaT ghaT bhanwar ke chakkar
Dag-mag hai jiwan ka safina
gham aur aansu aansu aur gham
gham khana aur aansu pina
barkha-rut viranon ki hai
chandni qabristanon ki hai
man mein lahr kabhi uThti thi
baat ye ab afsanon ki hai
jaise sae reng rahe hon
haalat ye insanon ki hai
hum se ghafil taqdiren hain
be-dast-o-pa tadbiren hain
KHushk labon ki murda aahen
bhuke peT ki tafsiren hain
kaise kahen hum bhi jite the
ab to be-jaan taswiren hain
jite hain aur mar nahin sakte
bebas hain kuchh kar nahin sakte
phulon ki KHushbu aati hai
daman un se bhar nahin sakte
duniya duniya kahne wale
duniya apni kar nahin sakte
sab ka palanhaar kidhar hai
duniya us ka hi to hunar hai
bane khilaune TuT rahe hain
uf ye gharaunda zer-o-zabar hai
kuchh rote hain kuchh hanste hain
aur phir donon ka ye ghar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.