taġh.īr-e-zamāna ke hāthoñ ḳhud apnī haqīqat bhuul ga.e
duniyā ke tarīqe yaad rahe ḳhud apnī tarīqat bhuul ga.e
gulhā-e-tamanna chun chun ke ārā.ish-e-mahfil yaad rahī
kaliyoñ kā masalnā yaad rahā phūloñ kī nazākat bhuul ga.e
har shaam fidā-e-nosh rahe har sub.h ḳhumār-ālūd rahe
āġhāz-e-masarrat yaad rahā anjām-e-masarrat bhuul ga.e
dāmān-e-nazar ke partav meñ taḳh.īl ke gūnā-gūñ naqshe
ik naqsh-e-tasavvur ban to ga.e par apnī hī sūrat bhuul ga.e
allāh-re fareb-e-rang-e-amal mad.hoshī-e-ālam kyā kahnā
girdāb-e-havādis se nikle tūfān kī hālat bhuul ga.e
īmān-o-mohabbat ke jalve sab nafs ke taabe ho ke rahe
paimāna-e-ulfat pheñk diyā paimān-e-mohabbat bhuul ga.e
jab aañkh lagī majbūr na the bedār hue māyūs hue
ai rahrav-e-manzil raah batā ham rāh-e-sadāqat bhuul ga.e
mahfil bhī vahī mutrib bhī vahī sahbā bhī vahī sāġhar bhī vahī
mai-nosh jo piine aa.e the sahbā-e-mohabbat bhuul ga.e