Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bidesi coat

Hilal Rizvi

bidesi coat

Hilal Rizvi

MORE BYHilal Rizvi

    dilā.e pichhle election meñ the jinheñ kuchh vote

    vo aaj de ga.e ye kah ke ik bidesī coat

    pahan ke tum ise sardī ko palle paar karo

    aur aane vaale election intizār karo

    na aur zikr-e-ināyāt-e-rahnumā suniye

    huā jo coat pe ghar meñ vo tabsira suniye

    bahut bigaḌ ke kahā maañ ne mujh se kyā hai ye

    to baap bole ki ḳhidmāt sila hai ye

    kahā ye maañ ne ki nīchā hai is ko kaTvā do

    to biivī bolī mirā coat is meñ banvā do

    kahā jo daadī se maiñ ne ki shāndār hai coat

    mirī nigāh meñ to bā.is-e-vaqār hai coat

    banā ke muñh ko ye kahne lagīñ baḌī amaañ

    tujhe ḳhabar nahīñ is kuchh are nādāñ

    na shāndār hai ye aur na bā-vaqār hai ye

    kisī mare hue gore yādgār hai ye

    dilae pichhle election mein the jinhen kuchh wote

    wo aaj de gae ye kah ke ek bidesi coat

    pahan ke tum ise sardi ko palle par karo

    aur aane wale election ka intizar karo

    na aur zikr-e-inayat-e-rahnuma suniye

    hua jo coat pe ghar mein wo tabsira suniye

    bahut bigaD ke kaha man ne mujh se kya hai ye

    to bap bole ki KHidmat ka sila hai ye

    kaha ye man ne ki nicha hai is ko kaTwa do

    to biwi boli mera coat is mein banwa do

    kaha jo dadi se main ne ki shandar hai coat

    meri nigah mein to bais-e-waqar hai coat

    bana ke munh ko ye kahne lagin baDi aman

    tujhe KHabar hi nahin is ki kuchh are nadan

    na shandar hai ye aur na ba-waqar hai ye

    kisi mare hue gore ki yaadgar hai ye

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now