bijli hui fel
lo vaqt huā raat kā aur aah nadārad
bijlī abhī aa.ī thī abhī vaah nadārad
is tīrgī meñ hosh hai vallāh nadārad
'asrār' andhere meñ jo hai jhelnā vo jhel
bijlī huī phir roz-e-guzishta kī tarah fel
ġhā.eb huī bijlī to huī fikr kī lo tez
logoñ ne usī vaqt kyā tanz ko mahmez
tum laakh karo apnī tabī.at ko suḳhan-ḳhez
mumkin nahīñ us vaqt taḳhayyul kī muñDhe bel
bijlī huī phir roz-e-guzishta kī tarah fel
hamdam ne kahā aaj andhere meñ hī khaao
kuchh kīḌe-makoḌoñ ko bhī sālan meñ milāo
be-ḳharch maza murġh musallam kā uḌaao
ye lutf-o-karam jaan pe ḳhud apnī gayā jhel
bijlī huī phir roz-e-guzishta kī tarah fel
jab mom kī battī na hī Dhabrī nazar aa.ī
ik puurī kitāb ik na.ī copy hī jalā.ī
tab ilm kī daulat se zarā raushnī paa.ī
das biis kitāboñ ko jalāyā ki na thā tel
bijlī huī phir roz-e-guzishta kī tarah fel
ham-sūrat-e-ma.ashūq-e-tarah-dār hai bijlī
'asrār' ke ghar meñ bhī pur-asrār hai bijlī
har roz sar-e-shām hī bīmār hai bijlī
chalte hue yak-bārgī ruk jaatī hai ye rail

bijlī ke chale jaane se Takrā ga.e kuchh log
cup chaa.e kā shervānī pe chhalkā ga.e kuchh log
tārīkī meñ jeb apnī katarvā ga.e kuchh log
har roz mire shahr meñ hotā hai yahī khel
bijlī huī phir roz-e-guzishta kī tarah fel
ab paas ke hotel meñ bhī jaanā nahīñ mumkin
ahbāb se gap jā ke laḌānā nahīñ mumkin
had ye hai kalām apnā sunānā nahīñ mumkin
bijlī ke chale jaane se ab ghar bhī banā jail
bijlī huī phir roz-e-guzishta kī tarah fel
lo waqt hua raat ka aur aah nadarad
bijli abhi aai thi abhi wah nadarad
is tirgi mein hosh hai wallah nadarad
'asrar' andhere mein jo hai jhelna wo jhel
bijli hui phir roz-e-guzishta ki tarah fel
ghaeb hui bijli to hui fikr ki lo tez
logon ne usi waqt kya tanz ko mahmez
tum lakh karo apni tabiat ko suKHan-KHez
mumkin nahin us waqt taKHayyul ki munDhe bel
bijli hui phir roz-e-guzishta ki tarah fel
hamdam ne kaha aaj andhere mein hi khao
kuchh kiDe-makoDon ko bhi salan mein milao
be-KHarch maza murgh musallam ka uDao
ye lutf-o-karam jaan pe KHud apni gaya jhel
bijli hui phir roz-e-guzishta ki tarah fel
jab mom ki batti na hi Dhabri nazar aai
ek puri kitab ek nai copy hi jalai
tab ilm ki daulat se zara raushni pai
das bis kitabon ko jalaya ki na tha tel
bijli hui phir roz-e-guzishta ki tarah fel
ham-surat-e-mashuq-e-tarah-dar hai bijli
'asrar' ke ghar mein bhi pur-asrar hai bijli
har roz sar-e-sham hi bimar hai bijli
chalte hue yak-bargi ruk jati hai ye rail

bijli ke chale jaane se Takra gae kuchh log
cup chae ka sherwani pe chhalka gae kuchh log
tariki mein jeb apni katarwa gae kuchh log
har roz mere shahr mein hota hai yahi khel
bijli hui phir roz-e-guzishta ki tarah fel
ab pas ke hotel mein bhi jaana nahin mumkin
ahbab se gap ja ke laDana nahin mumkin
had ye hai kalam apna sunana nahin mumkin
bijli ke chale jaane se ab ghar bhi bana jail
bijli hui phir roz-e-guzishta ki tarah fel
- Book : shair-e-aazam (Pg. 49)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.