bila-unwan
dhadhak rahī hai dil meñ mere koī shai
na.ī ḳhalish
ki vo junūn ab purānā ho gayā
ḳhayāl vo
ki mil ke koī mil nahīñ sakā mujhe
udāsiyoñ ke āsmāñ meñ kho gayā
'ajīb sāniha huā
guzishta shab
maiñ kitnī jaldī so gayā
maiñ be-sukūn ho gayā huuñ
apne is sukūn se
sukūn chāhiye mujhe
phir ek jā’da-bint-e-ash’at-e-zamāñ
jo itnā tez zahr de
lagā.ūñ jab laboñ se zarf-e-āb maiñ
to mere muñh se dil mirā nikal paḌe
zabāñ pe phir vo zā.iqa
vo ḳhuun chāhiye mujhe
koī nayā junūn chāhiye mujhe
dhadhak rahi hai dil mein mere koi shai
nai KHalish
ki wo junun ab purana ho gaya
KHayal wo
ki mil ke koi mil nahin saka mujhe
udasiyon ke aasman mein kho gaya
'ajib saniha hua
guzishta shab
main kitni jaldi so gaya
main be-sukun ho gaya hun
apne is sukun se
sukun chahiye mujhe
phir ek ja’da-bint-e-ash’at-e-zaman
jo itna tez zahr de
lagaun jab labon se zarf-e-ab main
to mere munh se dil mera nikal paDe
zaban pe phir wo zaiqa
wo KHun chahiye mujhe
koi naya junun chahiye mujhe
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 139)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.