billi kaise mari
ik aadmī savere
sardī se thartharātā
raste se jā rahā thā
dekhā ki naujavāñ ik
billī ko apnī le kar
nahlā rahā hai jis se
paanī hai barf jaisā
us aadmī ne rokā
tum kar rahe ho ye kyā
paḌtī hai saḳht sardī
uupar se ThanDā paanī
mar jā.egī ye billī
is be-zabāñ ke uupar
thoḌā sā to raham kar
vo naujavān ahmaq
ġhusse meñ bhar ke bolā
billī kā maiñ hī mālik
paanī bhī merā apnā
jo chāhūñ maiñ karūñgā
daa.eñ na baa.eñ jhāñko
chup-chāp rasta naapo
vo aadmī bechāra
chaltā banā vahāñ se
aur baad ek ghanTa
lauTā usī jagah to
dekhā ki naujavāñ vo
baiThā hai sar pakaḌ kar
aur sāmne hī us ke
billī marī paḌī hai
is par vo shaḳhs bolā
maiñ ne to pahle tum ko
āgāh kar diyā thā
sardī meñ sard paanī
nahlāoge to āḳhir
billī nahīñ bachegī
tum ne magar hamārī
ik baat bhī na maanī
vo naujavān bolā
tum kah rahe ho jo kuchh
vaisā nahīñ huā hai
billī kī maut kī to
kuchh aur hī vajah hai
sardī meñ pāniyoñ ne
is ko nahīñ hai maarā
sachchā.ī hai bas itnī
nahlā ke maiñ ne is ko
jam kar nichoḌ Daalā
ek aadmi sawere
sardi se thartharaata
raste se ja raha tha
dekha ki naujawan ek
billi ko apni le kar
nahla raha hai jis se
pani hai barf jaisa
us aadmi ne roka
tum kar rahe ho ye kya
paDti hai saKHt sardi
upar se ThanDa pani
mar jaegi ye billi
is be-zaban ke upar
thoDa sa to raham kar
wo naujawan ahmaq
ghusse mein bhar ke bola
billi ka main hi malik
pani bhi mera apna
jo chahun main karunga
daen na baen jhanko
chup-chap rasta napo
wo aadmi bechaara
chalta bana wahan se
aur baad ek ghanTa
lauTa usi jagah to
dekha ki naujawan wo
baiTha hai sar pakaD kar
aur samne hi us ke
billi mari paDi hai
is par wo shaKHs bola
main ne to pahle tum ko
aagah kar diya tha
sardi mein sard pani
nahlaoge to aaKHir
billi nahin bachegi
tum ne magar hamari
ek baat bhi na mani
wo naujawan bola
tum kah rahe ho jo kuchh
waisa nahin hua hai
billi ki maut ki to
kuchh aur hi wajah hai
sardi mein paniyon ne
is ko nahin hai mara
sachchai hai bas itni
nahla ke main ne is ko
jam kar nichoD Dala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.