billi ki haDtal
paapā apnī nannhī puusī kar baiThī haḌtāl suno jī
chūhoñ kī ban aa.ī ghar meñ aayā hai bhauñchāl suno jī
kahtī hai ye nannhī puusī ab chūhe na khā.ūñgī maiñ
ghar vāloñ se jab tak saarī māñgeñ na manvā.ūñgī maiñ
maañg hai pahlī sardī meñ ho sweater aur razā.ī bhī
maañg hai duujī band na rakkho makkhan duudh malā.ī bhī
maañg hai tiijī raat kitchen meñ thoḌā bhī na ujālā ho
maañg hai chauthī sab kuttoñ kā fauran desh-nikālā ho
papa apni nannhi pusi kar baiThi haDtal suno ji
chuhon ki ban aai ghar mein aaya hai bhaunchaal suno ji
kahti hai ye nannhi pusi ab chuhe na khaungi main
ghar walon se jab tak sari mangen na manwaungi main
mang hai pahli sardi mein ho sweater aur razai bhi
mang hai duji band na rakkho makkhan dudh malai bhi
mang hai tiji raat kitchen mein thoDa bhi na ujala ho
mang hai chauthi sab kutton ka fauran desh-nikala ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.