bojh
maiñ dukh kā bojh uThā.e
ek muddat se chal rahā huuñ
lagtā hai
kisī bhī vaqt merī gardan TuuT jā.egī
maiñ sustānā chāhtā huuñ
koī merā bojh nahīñ baTā saktā
sab ke sar pe
ek vaznī Tokrā rakhā huā hai
koī nafrat ke bojh tale dabā huā hai
kisī se mohabbat nahīñ sambhālī jā rahī
ham sab mazdūr haiñ
bojh uThānā hamārā kaam hai
hameñ
sustāne kī ijāzat nahīñ miltī
bojh uThāne kī ujrat
Tokaroñ kī tabdīlī hai
main dukh ka bojh uThae
ek muddat se chal raha hun
lagta hai
kisi bhi waqt meri gardan TuT jaegi
main sustana chahta hun
koi mera bojh nahin baTa sakta
sab ke sar pe
ek wazni Tokra rakha hua hai
koi nafrat ke bojh tale daba hua hai
kisi se mohabbat nahin sambhaali ja rahi
hum sab mazdur hain
bojh uThana hamara kaam hai
hamein
sustane ki ijazat nahin milti
bojh uThane ki ujrat
Tokaron ki tabdili hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.