bol! ari o dharti bol!
Interesting Fact
In a Mushaira, when a drunk Majaz succesfully recited his Nazm, 'Bol ari O Dharti Bol', Hansraj Rahbar teasingly asked, 'Majaz Bhai, did you compose this Nazm drunk?', Majaz extemporanously replied, 'I drank afterwards, too'.
bol! arī o dhartī bol!
raaj singhāsan DāñvāDol
bādal bijlī rain añdhyārī
dukh kī maarī parjā saarī
būḌhe bachche sab dukhiyā haiñ
dukhiyā nar haiñ dukhiyā naarī
bastī bastī luuT machī hai
sab baniye haiñ sab byopārī
bol! arī o dhartī bol!
raaj singhāsan DāñvāDol
kaljug meñ jag ke rakhvāle
chāñdī vaale sone vaale
desī hoñ yā pardesī hoñ
niile piile gore kaale
makkhī bhiñge bhin bhin karte
DhūñDe haiñ makḌī ke jaale
bol! arī o dhartī bol!
raaj singhāsan DāñvāDol
kyā afrañgī kyā tātārī
aañkh bachī aur barchhī maarī
kab tak jantā kī bechainī
kab tak jantā kī be-zārī
kab tak sarmāya ke dhande
kab tak ye sarmāya-dārī
bol! arī o dhartī bol!
raaj singhāsan DāñvāDol
naamī aur mash.hūr nahīñ ham
lekin kyā mazdūr nahīñ ham
dhokā aur mazdūroñ ko deñ
aise to majbūr nahīñ ham
manzil apne paañv ke nīche
manzil se ab duur nahīñ ham
bol! arī o dhartī bol!
raaj singhāsan DāñvāDol
bol ki terī ḳhidmat kī hai
bol ki terā kaam kiyā hai
bol ki tere phal khaa.e haiñ
bol ki terā duudh piyā hai
bol ki ham ne hashr uThāyā
bol ki ham se hashr uThā hai
bol ki ham se jaagī duniyā
bol ki ham se jaagī dhartī
bol! arī o dhartī bol!
raaj singhāsan DāñvāDol
bol! ari o dharti bol!
raj singhasan DanwaDol
baadal bijli rain andhyari
dukh ki mari parja sari
buDhe bachche sab dukhiya hain
dukhiya nar hain dukhiya nari
basti basti luT machi hai
sab baniye hain sab byopari
bol! ari o dharti bol!
raj singhasan DanwaDol
kaljug mein jag ke rakhwale
chandi wale sone wale
desi hon ya pardesi hon
nile pile gore kale
makkhi bhinge bhin bhin karte
DhunDe hain makDi ke jale
bol! ari o dharti bol!
raj singhasan DanwaDol
kya afrangi kya tatari
aankh bachi aur barchhi mari
kab tak janta ki bechaini
kab tak janta ki be-zari
kab tak sarmaya ke dhande
kab tak ye sarmaya-dari
bol! ari o dharti bol!
raj singhasan DanwaDol
nami aur mashhur nahin hum
lekin kya mazdur nahin hum
dhoka aur mazduron ko den
aise to majbur nahin hum
manzil apne panw ke niche
manzil se ab dur nahin hum
bol! ari o dharti bol!
raj singhasan DanwaDol
bol ki teri KHidmat ki hai
bol ki tera kaam kiya hai
bol ki tere phal khae hain
bol ki tera dudh piya hai
bol ki hum ne hashr uThaya
bol ki hum se hashr uTha hai
bol ki hum se jagi duniya
bol ki hum se jagi dharti
bol! ari o dharti bol!
raj singhasan DanwaDol
- Book : Aahang (Pg. 175)
- Author : Asrar-ul-Haq Majaz
- Publication : National Council for Promotion of Urdu Language, Delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.