tū shaah mire lafzoñ kā hai
tū husn hai merī nazmoñ kā
maiñ pāgal terī chāhat meñ
sā.īñ maiñ kitnī ghāyal huuñ
tum dekho merī āñkhoñ meñ
ho tum hī mere ashkoñ meñ
maiñ man ke bhed batā.ūñ kyā
kis tarah pyaar chhupā.ūñ maiñ
maiñ laakh chhupā.ūñ duniyā se
āñkhoñ meñ sab aa jaatā hai
tū dil se mujhe duā.eñ de
tujh pe nichhāvar merī vafā.eñ
pyaar kī ḳhushbū man meñ basī hai
pyaas to lekin lab pe sajī hai
ise nikālūñ man se kaise
tujhe nikālūñ tan se kaise
ḳhvāb kī kirchī chubhtī jaa.e
ashk mire ruḳhsār pe aa.e
TuuT gayā minnat kā dhāga
man merā hai kitnā abhāgā
ḳhvāb kī aas meñ khoyā sab kuchh
Duub gayā hai pyaas meñ sab kuchh
āñkhoñ meñ vīrānī utrī
chehre par hairānī utrī
kaise manā.ūñ mātam sā.īñ
bol naañ mere hamdam sā.īñ
de de sā.īñ mujh ko duā tū
yā to aakar ḳhud dafnā tū
tu shah mere lafzon ka hai
tu husn hai meri nazmon ka
main pagal teri chahat mein
sain main kitni ghayal hun
tum dekho meri aankhon mein
ho tum hi mere ashkon mein
main man ke bhed bataun kya
kis tarah pyar chhupaun main
main lakh chhupaun duniya se
aankhon mein sab aa jata hai
tu dil se mujhe duaen de
tujh pe nichhawar meri wafaen
pyar ki KHushbu man mein basi hai
pyas to lekin lab pe saji hai
ise nikalun man se kaise
tujhe nikalun tan se kaise
KHwab ki kirchi chubhti jae
ashk mere ruKHsar pe aae
TuT gaya minnat ka dhaga
man mera hai kitna abhaga
KHwab ki aas mein khoya sab kuchh
Dub gaya hai pyas mein sab kuchh
aankhon mein virani utri
chehre par hairani utri
kaise manaun matam sain
bol nan mere hamdam sain
de de sain mujh ko dua tu
ya to aakar KHud dafna tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.