bol raha hai
nuqsān uThā kar bhī jo sach bol rahā hai
vo apne liye ḳhuld kā dar khol rahā hai
kyā muñh vo qayāmat meñ dikhā.egā ḳhudā ko
dukkān pe jo baiTh ke kam taul rahā hai
jāñchā gayā parkhā gayā qur.ān kā har bol
har ahd meñ har mulk meñ anmol rahā hai
suntā huuñ hadīseñ to mujhe lagtā hai aisā
jaise ye koī kānoñ meñ ras ghol rahā hai
ye san huā 'mā.il' kā magar bāteñ haiñ aisī
jaise koī ik bachcha hai jo bol rahā hai
nuqsan uTha kar bhi jo sach bol raha hai
wo apne liye KHuld ka dar khol raha hai
kya munh wo qayamat mein dikhaega KHuda ko
dukkan pe jo baiTh ke kam taul raha hai
jaancha gaya parkha gaya quran ka har bol
har ahd mein har mulk mein anmol raha hai
sunta hun hadisen to mujhe lagta hai aisa
jaise ye koi kanon mein ras ghol raha hai
ye san hua 'mail' ka magar baaten hain aisi
jaise koi ek bachcha hai jo bol raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.