book fair
lafz-o-ma.anī kā ik silsila
tā-ba-hadd-e-nazar
niile piile hare kāsnī arġhavānī libādoñ meñ malbūs aurāq
chāroñ taraf
dāvat-e-dīd detī huī daa.eñ baa.eñ kitābeñ
ki ehsās ko gudgudātī huī
lafz-dar-lafz e.ajāz-e-nok-e-qalam
husn-e-tahrīr jaadū jagātā huā
husn-e-taḳhlīq be-jāñ meñ jaañ Dāltā
fikr kī saf.he saf.he meñ ḳhushbū basī
ḳhūbsūrat ḳhayālāt kī tāzgī
husn-e-alfāz-o-husn-e-ma.ānī ke sab mo'tarif
rang-o-bū kī fazā kah rahī hai magar
chaltī phirtī huī chand tahrīr-e-tāza
diloñ ko lubhātī nigāhoñ ko shādāb kartī huī
in kitāboñ se bāhar
haiñ vo harf-e-zebā
ki zebā.iyāñ ḳhatm jin par
haiñ vo harf-e-shīrīñ
jo ab tak kitāboñ ko hāsil nahīñ
lafz-o-mani ka ek silsila
ta-ba-hadd-e-nazar
nile pile hare kasni arghawani libaadon mein malbus auraq
chaaron taraf
dawat-e-did deti hui daen baen kitaben
ki ehsas ko gudgudati hui
lafz-dar-lafz eajaz-e-nok-e-qalam
husn-e-tahrir jadu jagata hua
husn-e-taKHliq be-jaan mein jaan Dalta
fikr ki safhe safhe mein KHushbu basi
KHubsurat KHayalat ki tazgi
husn-e-alfaz-o-husn-e-maani ke sab mo'tarif
rang-o-bu ki faza kah rahi hai magar
chalti phirti hui chand tahrir-e-taza
dilon ko lubhati nigahon ko shadab karti hui
in kitabon se bahar
hain wo harf-e-zeba
ki zebaiyan KHatm jin par
hain wo harf-e-shirin
jo ab tak kitabon ko hasil nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.