breaking news
tahayyur ḳhauf dahshat
barbariyyat aur anokhe zulm ko
mānūs lafzoñ kī qabā pahnā ke
jab bhī media se nashr karte haiñ
breaking news kahlātī hai
aur is news meñ koshish ye kī jaatī hai ki
vahshat-zada māhaul meñ video koī
aisī banā kar pesh kī jaa.e
ki jis ko dekh kar ham ko yaqīñ aa.e
jahāñ meñ ab añdhere hī añdhere haiñ
bahut nāyāb ab raushan savere haiñ
kahīñ jugnū nahīñ milte
kahīñ par gul nahīñ khilte
har ik sū chāk-dāmānī
kahīñ baḳhiye nahīñ silte
breaking news kī ik dauḌ jaarī hai
ki pahle kaun sā channel
diloñ meñ dard bhartā hai
lahū ko sard kartā hai
maiñ sab se pūchhtī huuñ
merī duniyā meñ koī aisī ḳhabar
jo aañkh meñ aañsū na ban paa.e
jo dil ko ḳhauf ke raste na le jaa.e
kisī insān kī nekī kisī bachche kī aisī muskurāhaT
jo farishtoñ jaisī lagtī hai
dayār-e-ishq kī tasḳhīr yā phir vo masarrat
jo bahut se āñsuoñ ke ba.ad miltī hai
taqaddus se bharā kirdār
sachchā.ī vafā īmān-dārī sabr hamdardī
breaking news āḳhir kyuuñ nahīñ bantī
tahayyur KHauf dahshat
barbariyyat aur anokhe zulm ko
manus lafzon ki qaba pahna ke
jab bhi media se nashr karte hain
breaking news kahlati hai
aur is news mein koshish ye ki jati hai ki
wahshat-zada mahaul mein wideo koi
aisi bana kar pesh ki jae
ki jis ko dekh kar hum ko yaqin aae
jahan mein ab andhere hi andhere hain
bahut nayab ab raushan sawere hain
kahin jugnu nahin milte
kahin par gul nahin khilte
har ek su chaak-damani
kahin baKHiye nahin silte
breaking news ki ek dauD jari hai
ki pahle kaun sa channel
dilon mein dard bharta hai
lahu ko sard karta hai
main sab se puchhti hun
meri duniya mein koi aisi KHabar
jo aankh mein aansu na ban pae
jo dil ko KHauf ke raste na le jae
kisi insan ki neki kisi bachche ki aisi muskurahaT
jo farishton jaisi lagti hai
dayar-e-ishq ki tasKHir ya phir wo masarrat
jo bahut se aansuon ke baad milti hai
taqaddus se bhara kirdar
sachchai wafa iman-dari sabr hamdardi
breaking news aaKHir kyun nahin banti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.