roz hī buḌhiyā uTh kar kyoñ kahtī hai
pyaas lagī hai
paanī Dālte Dālte mug se aa jaatī hai
gilās girāoge tum
haath tumhāre kaañp rahe haiñ
jaan jalā rakhī hai is ne
ḳharrāTe kyā maiñ letā huuñ
naak to is kī pharrātī hai
aadhī raat ko uTh kar kahtī hai ki pañkhā band karo naañ ThanD
lagtī hai
paañv maar ke ḳhud hī to chādar pheñkī thī
paañv palañg pe maar kar pair sujā rakhā hai
saarī raat dabātā huuñ
pain-killer khā khā ke bhī ab uub gayā huuñ
saarī umr jalāyā is ne
ek baras hone ko aayā
sīḌhī par phislī thī to sar phoḌ liyā thā
apne haath se aag ke uupar rakh kar aayā thā maiñ us ko
aur kahā thā tū chal maiñ bhī aatā huuñ
par jaa.e tab naañ
saarī raat mire bistar par karvaTeñ letī rahtī hai
roz hi buDhiya uTh kar kyon kahti hai
pyas lagi hai
pani Dalte Dalte mug se aa jati hai
gilas giraoge tum
hath tumhaare kanp rahe hain
jaan jala rakhi hai is ne
KHarraTe kya main leta hun
nak to is ki pharraati hai
aadhi raat ko uTh kar kahti hai ki pankha band karo nan ThanD
lagti hai
panw mar ke KHud hi to chadar phenki thi
panw palang pe mar kar pair suja rakha hai
sari raat dabaata hun
pain-killer kha kha ke bhi ab ub gaya hun
sari umr jalaya is ne
ek baras hone ko aaya
siDhi par phisli thi to sar phoD liya tha
apne hath se aag ke upar rakh kar aaya tha main us ko
aur kaha tha tu chal main bhi aata hun
par jae tab nan
sari raat mere bistar par karwaTen leti rahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.