bulandi ki paimaish
jitne ūñche haiñ utne hī ḳhāmosh haiñ
kin pahāḌoñ meñ rahnā paḌā hai mujhe
saare apnī baḌā.ī kī dhun meñ magan
dekhte jā rahe haiñ magar baat karte nahīñ
baat karte haiñ to ḳhud se aage koī lafz kahte hahīñ!
apne hī bojh se
merī ḳhāmoshī kuuza kamar ho ga.ii... to chalī
ik baḌī ḳhāmushī kī taraf
aur marī nannhī sī ḳhāmushī ne kahā
dhartī ḳhāmosh hai
ye ḳhamoshī kā ghūñghaT uThā.e to maiñ is kī sāñseñ ginūñ
ai qadīmī ḳhamoshī!
jo tū aur maiñ chup kī chādar utāreñ
to dhartī takallum kā malbūs pahne
pahāḌoñ se aisī sadā.eñ uTheñ
jo samundar ke siine meñ sūrāḳh kar deñ
ye kuchlī huī ḳhalq uTThe
to chīḳhoñ se pātāl hilne lage
mauj-e-nāla ravānī kare
aur sīnoñ meñ sahmī sadāoñ kī barfoñ ko paanī kare
lafz-e-mamnua phir se chale
soch kī sarzamīñ par na.ī tuḳhm-kārī kare
ḳhair-o-shar kī hadoñ par na.ī had ko jaarī kare
ai baḌī ḳhāmushī!... ai...
magar ḳhāmushī pahle se baḌh kar ḳhāmosh thii!
dil ke ġhurfoñ meñ soī sadāo!
uTho! sūr-e-ādam uThāo
'sarāfīl' soyā paḌā hai
tumhī koī shor-e-qayāmat jagāo
uTho be-navāo!
tumhī apnī miTTī kī dhaḌkan meñ dhaḌkan milāo
tumhāre badan par hai ta.amīr jin kī
sadāoñ kī larzish se
un ūñche burjoñ ko mil kar zamīñ-bos kar do!
kisī ko nahīñ māntī haiñ
sadā.eñ, koī ūñchā nīchā nahīñ jāntī haiñ!
jitne unche hain utne hi KHamosh hain
kin pahaDon mein rahna paDa hai mujhe
sare apni baDai ki dhun mein magan
dekhte ja rahe hain magar baat karte nahin
baat karte hain to KHud se aage koi lafz kahte hahin!
apne hi bojh se
meri KHamoshi kuza kamar ho gai to chali
ek baDi KHamushi ki taraf
aur mari nannhi si KHamushi ne kaha
dharti KHamosh hai
ye KHamoshi ka ghunghaT uThae to main is ki sansen ginun
ai qadimi KHamoshi!
jo tu aur main chup ki chadar utaren
to dharti takallum ka malbus pahne
pahaDon se aisi sadaen uThen
jo samundar ke sine mein suraKH kar den
ye kuchli hui KHalq uTThe
to chiKHon se patal hilne lage
mauj-e-nala rawani kare
aur sinon mein sahmi sadaon ki barfon ko pani kare
lafz-e-mamnua phir se chale
soch ki sarzamin par nai tuKHm-kari kare
KHair-o-shar ki hadon par nai had ko jari kare
ai baDi KHamushi! ai
magar KHamushi pahle se baDh kar KHamosh thi!
dil ke ghurfon mein soi sadao!
uTho! sur-e-adam uThao
'sarafil' soya paDa hai
tumhi koi shor-e-qayamat jagao
uTho be-nawao!
tumhi apni miTTi ki dhaDkan mein dhaDkan milao
tumhaare badan par hai tamir jin ki
sadaon ki larzish se
un unche burjon ko mil kar zamin-bos kar do!
kisi ko nahin manti hain
sadaen, koi uncha nicha nahin jaanti hain!
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 105)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
- Edition : Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.