bikhar ga.e haiñ sitāre ban ke
us ek sūraj ke kitne TukḌe
har ik TukḌā alag jahāñ hai
sarhad ke bandhan meñ āsmāñ hai
zamīn kā to vajūd kyā hai
har ik kun pe ḳhudā likhā hai
har ik ḳhudā kā hai apnā shajra
har ik shajre kī apnī duniyā
har ik duniyā ke apne hisse
har ik hisse ke apne rishte
har ik rishte meñ sau dīvāreñ
har ek dīvār meñ darāreñ
darār meñ haiñ na.e jazīre
har ik jazīre ke apne virse
har ik virse ke ġham apne apne
har ik apne ke qisse apne
mahal jo tahzīb-o-irtiqā ke maazī pe ban rahe haiñ
hai un kī buniyād kitnī gahrī maiñ un kī gahrā.ī jāntā huuñ
bikhar gae hain sitare ban ke
us ek suraj ke kitne TukDe
har ek TukDa alag jahan hai
sarhad ke bandhan mein aasman hai
zamin ka to wajud kya hai
har ek kun pe KHuda likha hai
har ek KHuda ka hai apna shajra
har ek shajre ki apni duniya
har ek duniya ke apne hisse
har ek hisse ke apne rishte
har ek rishte mein sau diwaren
har ek diwar mein dararen
darar mein hain nae jazire
har ek jazire ke apne wirse
har ek wirse ke gham apne apne
har ek apne ke qisse apne
mahal jo tahzib-o-irtiqa ke mazi pe ban rahe hain
hai un ki buniyaad kitni gahri main un ki gahrai jaanta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.