burada uD raha hai
burāda uḌ rahā hai
tirmare se nāchte haiñ
dīda-e-namnāk meñ
burrāq saa.e reñgte haiñ
rāhdārī meñ
burāda uḌ rahā hai
naak ke nathune meñ
nalkī oxygen kī lagī hai
gosha-e-lab raal se luthḌā hai
hichkī sī bañdhī hai
ik ġhashī hai
merā hāzir mere ġhā.eb se judā hai
kyā batā.ūñ mājrā kyā hai!
zamānoñ qabl ham donoñ kā rasta
poTlī meñ maañ ke hāthoñ kā pakā khānā
kitābeñ aur basta ek the
kaḌiyoñ ke raḳhnoñ meñ
hamāre saath chiḌiyāñ
raat din bisrām kartī thiiñ
hamārī mushtarak chahkār thī
darzī se kapḌe ek jaise sil ke aate
ek se juute pahante
būñdā-bāndī meñ ikaTThe hī nahāte
ham jidhar jaate hamesha saath jaate
raat jab Dhaltī
to sunte the kahānī
sehn meñ rakkhe hue maTke kā paanī
peḌ kī chhatrī
sitāroñ se muzayyan āsmāñ
hāñDī kī ḳhushbū
aur varīdoñ kā lahū
al-muḳhtasar ḳhvāboñ kī duniyā ek thī
ik dūsre kā hāzir o ġhā.eb the
ham juḌvāñ the
a.azā o anāsir meñ duī nāpaid thī
siine se siina
dil se dil
māthe se māthā munsalik thaa!
kyā batā.ūñ
kis tarah bijlī lapak kar taar se niklī
kināre apnā dariyā chhoḌ kar ruḳhsat hue
takle kā dhāgā kis tarah TuuTā
sirhāne ḳhvāb jo rakkhe the
kab badle ga.e
ziina kidhar ko muḌ gayā
vo kaun sā sāmāñ thā
jis ke pheñkne par
dil to raazī thā
magar jis ke uThāne se kamar dukhtī na thī
kis dard kī parchhā.īñ thī
jo maz.har o shai se nikalnā chāhtī thī
dhund jo dīvār ke donoñ taraf thī
us kā qissa kyā sunā.ūñ!
kyā batā.ūñ
vaqt ne jab taḳhta-e-āhan pe rakh kar
tez-rau aarā chalāyā thā
hameñ TukḌoñ meñ kaaTā thā
usī din se burāda uḌ rahā hai
peḌ ke sūkhe tane se
chhat kī kaḌiyoñ se
kitāboñ aur ḳhvāboñ se
burāda uḌ rahā hai
merā hāzir mere ġhā.eb se judā hai!!
burada uD raha hai
tirmare se nachte hain
dida-e-namnak mein
burraq sae rengte hain
rahdari mein
burada uD raha hai
nak ke nathune mein
nalki oxygen ki lagi hai
gosha-e-lab ral se luthDa hai
hichki si bandhi hai
ek ghashi hai
mera hazir mere ghaeb se juda hai
kya bataun majra kya hai!
zamanon qabl hum donon ka rasta
poTli mein man ke hathon ka paka khana
kitaben aur basta ek the
kaDiyon ke raKHnon mein
hamare sath chiDiyan
raat din bisram karti thin
hamari mushtarak chahkar thi
darzi se kapDe ek jaise sil ke aate
ek se jute pahante
bunda-bandi mein ikaTThe hi nahate
hum jidhar jate hamesha sath jate
raat jab Dhalti
to sunte the kahani
sehn mein rakkhe hue maTke ka pani
peD ki chhatri
sitaron se muzayyan aasman
hanDi ki KHushbu
aur waridon ka lahu
al-muKHtasar KHwabon ki duniya ek thi
ek dusre ka hazir o ghaeb the
hum juDwan the
aaza o anasir mein dui napaid thi
sine se sina
dil se dil
mathe se matha munsalik tha!
kya bataun
kis tarah bijli lapak kar tar se nikli
kinare apna dariya chhoD kar ruKHsat hue
takle ka dhaga kis tarah TuTa
sirhane KHwab jo rakkhe the
kab badle gae
zina kidhar ko muD gaya
wo kaun sa saman tha
jis ke phenkne par
dil to raazi tha
magar jis ke uThane se kamar dukhti na thi
kis dard ki parchhain thi
jo mazhar o shai se nikalna chahti thi
dhund jo diwar ke donon taraf thi
us ka qissa kya sunaun!
kya bataun
waqt ne jab taKHta-e-ahan pe rakh kar
tez-rau aara chalaya tha
hamein TukDon mein kaTa tha
usi din se burada uD raha hai
peD ke sukhe tane se
chhat ki kaDiyon se
kitabon aur KHwabon se
burada uD raha hai
mera hazir mere ghaeb se juda hai!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.