bus ke musafir
tīsrī duniyā ke ham baasī
bus ke musāfir
seat par baiThe
ūñghte sote
shīshe kī khiḌkī se bāhar
bhāgte manzar dekh rahe haiñ
kyā kuchh dekheñ
kahāñ rukeñ
aur kin rastoñ par ham jaa.eñ
faisla is kā
to chālak ke hāthoñ meñ hai
aur ye chālak
pahlī duniyā kā ik leader
behad chālū chaltā purza
sadiyoñ se ik farzī manzil
kā dhuñdlā sā ḳhvāb dikhā kar
aur tahaffuz kā jhūTā ehsās dilā kar
ḳhud ko sevak daas batā kar
stēring par mazbūtī se haath jamā kar
ham ko chāroñ samt ghumātā phirtā hai
ham haiñ itne bhole-bhāle
apnī āsā.ish kī ḳhātir
apnī āzādī kā saudā kar lete haiñ
tisri duniya ke hum basi
bus ke musafir
seat par baiThe
unghte sote
shishe ki khiDki se bahar
bhagte manzar dekh rahe hain
kya kuchh dekhen
kahan ruken
aur kin raston par hum jaen
faisla is ka
to chaalak ke hathon mein hai
aur ye chaalak
pahli duniya ka ek leader
behad chaalu chalta purza
sadiyon se ek farzi manzil
ka dhundla sa KHwab dikha kar
aur tahaffuz ka jhuTa ehsas dila kar
KHud ko sewak das bata kar
steering par mazbuti se hath jama kar
hum ko chaaron samt ghumata phirta hai
hum hain itne bhole-bhaale
apni aasaish ki KHatir
apni aazadi ka sauda kar lete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.