buDha waqt hamara istiqbaal karta hai
arsha-e-ḳhāk se, maiñ ne hāthoñ meñ miTTī bharī
aur havā meñ uchhālī
bahut duur tak ḳhaak uḌtī ga.ī
der tak maiñ ne be-ma.anī nazzāre ko kā.enātī havāloñ se maapā
kabhī tuul aur arz meñ us ko rakhā
ubhre papoToñ,
kabhī band āñkhoñ se dekhā!
vo sochā jo dekhā nahīñ jā sakā!
havā ḳhaak thī yā havā meñ thī ḳhāk...!
gard kī muTThiyoñ se havā chhan rahī thī
arsha-e-ḳhāk kī god... phir bhar rahī thī
āb-e-vaqt āsmāñ kī taraf baḌhne kī koshishoñ meñ
zamīñ ke pyāle meñ girtā gayā
koī āhista se būḌhā hotā gayā
sochte sochte
kapkapī sī mire hoñToñ ke naqra.ī dā.eroñ meñ utartī ga.ī
amar-bel kī tarah hāthoñ se ra.asha lipaTne lagā
rafta rafta... simaTne lage... arsha-e-ḳhāk par
muntashir gard, meñ aur havā
arsha-e-KHak se, main ne hathon mein miTTi bhari
aur hawa mein uchhaali
bahut dur tak KHak uDti gai
der tak main ne be-mani nazzare ko kaenati hawalon se mapa
kabhi tul aur arz mein us ko rakha
ubhre papoTon,
kabhi band aankhon se dekha!
wo socha jo dekha nahin ja saka!
hawa KHak thi ya hawa mein thi KHak!
gard ki muTThiyon se hawa chhan rahi thi
arsha-e-KHak ki god phir bhar rahi thi
aab-e-waqt aasman ki taraf baDhne ki koshishon mein
zamin ke pyale mein girta gaya
koi aahista se buDha hota gaya
sochte sochte
kapkapi si mere honTon ke naqrai daeron mein utarti gai
amar-bel ki tarah hathon se rasha lipaTne laga
rafta rafta simaTne lage arsha-e-KHak par
muntashir gard, mein aur hawa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.