buDhi kahani
jannat kī ujlī chamkīlī dhuup meñ tap kar
maiñ har baar nikhar jaatā huuñ
aur dhartī par
sone kā ik garm badan le kar aatā huuñ
is dhartī kā zarra zarra
mere qadmoñ kī lazzat ko pahchāne hai
chāñd ke chehre par ye dhabba
mere maazī kā shāhid hai
ye būḌhī kamzor havā.eñ
apnī āñkheñ kho baiThī haiñ
phir bhī mujh ko chhū kar yaad dilātī haiñ kuchh biitī bāteñ
aur kahtī haiñ
tum vo ho jo DheḌh qadam meñ
saarī prithvī, sātoñ sāgar
lāñgh ga.e the
jannat ki ujli chamkili dhup mein tap kar
main har bar nikhar jata hun
aur dharti par
sone ka ek garm badan le kar aata hun
is dharti ka zarra zarra
mere qadmon ki lazzat ko pahchane hai
chand ke chehre par ye dhabba
mere mazi ka shahid hai
ye buDhi kamzor hawaen
apni aankhen kho baiThi hain
phir bhi mujh ko chhu kar yaad dilati hain kuchh biti baaten
aur kahti hain
tum wo ho jo DheDh qadam mein
sari prithwi, saton sagar
langh gae the
- Book : Intekhab-e- kumaar paashii (Pg. 79)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.