buDhi qismat
yādoñ ke cup meñ chand dukhoñ aur
kisī ke jhūTe va.adoñ kī taklīfoñ
ko piine ke alāva
mere bas meñ kuchh bhī nahīñ
shāyad merā chehra
ab bāñjh-pan kā shikār ho chukā
hai jo laakh koshishoñ ke baad bhī
muskurāhaT ko janm dene meñ nākām hai
merī qismat bhī mujhe masnūī
ḳhushiyoñ se navāztī rahtī hai
jo mujhe sukūn dilāne
kī ek nākām koshish hai
gaañv meñ maujūd vo būḌhā jo purānī
jangoñ ke qisse sunā kar
vaqt guzārne meñ merī madad kartā thā
vo bhī vafāt pā chukā hai
maiñ chāhtā huuñ ke merī qismat
hāmila ho taaki vo ek
haqīqī aur ḳhūbsūrat ḳhushī
ko janm de sake
magar shāyad ye qismat
ab būḌhī ho chukī hai shāyad kisī
ġham ne use itnā būḌhā kar diyā hai
ki ye ab chaah kar bhī kisī
ḳhushī ko janm nahīñ de saktī
vo titlī jo har shaam baaġh meñ kisī se
milne aatī thī aaj maiñ ne der tak
us kā intizār kiyā lekin vo nahīñ aa.ī
maiñ ne baaġh meñ saarā vaqt
ḳhud ko diyā ḳhud se bāteñ kiiñ ḳhud ko
muskurāhaT kā ek masnūī tohfa diyā
ḳhud ke saath baiTh kar cigarette pī
baaġh se vāpsī par maiñ ne train ko dekhā
jo tezī se bhaag rahī thī
shāyad use kisī se milne jaanā thā
yā koī us ke intizār meñ baiThā thā
kahīñ us train kā us titlī kā
aur būḌhī qismat kā ta'alluq
mohabbat se to nahīñ
yaadon ke cup mein chand dukhon aur
kisi ke jhuTe wadon ki taklifon
ko pine ke alawa
mere bas mein kuchh bhi nahin
shayad mera chehra
ab banjh-pan ka shikar ho chuka
hai jo lakh koshishon ke baad bhi
muskurahaT ko janm dene mein nakaam hai
meri qismat bhi mujhe masnui
KHushiyon se nawazti rahti hai
jo mujhe sukun dilane
ki ek nakaam koshish hai
ganw mein maujud wo buDha jo purani
jangon ke qisse suna kar
waqt guzarne mein meri madad karta tha
wo bhi wafat pa chuka hai
main chahta hun ke meri qismat
hamila ho taki wo ek
haqiqi aur KHubsurat KHushi
ko janm de sake
magar shayad ye qismat
ab buDhi ho chuki hai shayad kisi
gham ne use itna buDha kar diya hai
ki ye ab chah kar bhi kisi
KHushi ko janm nahin de sakti
wo titli jo har sham bagh mein kisi se
milne aati thi aaj main ne der tak
us ka intizar kiya lekin wo nahin aai
main ne bagh mein sara waqt
KHud ko diya KHud se baaten kin KHud ko
muskurahaT ka ek masnui tohfa diya
KHud ke sath baiTh kar cigarette pi
bagh se wapsi par main ne train ko dekha
jo tezi se bhag rahi thi
shayad use kisi se milne jaana tha
ya koi us ke intizar mein baiTha tha
kahin us train ka us titli ka
aur buDhi qismat ka ta'alluq
mohabbat se to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.