canwas koi sada
Interesting Fact
(Subh-e-Nau, Patna)
TūTtī
TuuT kar reza-reza simaTtī huī sā.atoñ
kī tarah koī satah saada nahīñ
ek vaqfe kā dāman bhī dhabboñ se
ḳhālī nahīñ
ye nazar kā nahīñ asl meñ
ik tazād-e-nazar kā karishma hai
varna ye aurāq-e-mahtāb bhī
jitne lagte haiñ ujle nahīñ
muñh khulī aur luḌhaktī huī raat se
lamha-lamha ubaltī huī raushnā.ī ziyāda
siyah hai
vahī ko.ele
jab shurūāt taqrīb ke
dhīme-dhīme sulagte alaav meñ jalne lageñ
us ghaḌī
aur jab biich ke marhala meñ dahakne lageñ
us ghaḌī
aur jab ḳhatm-e-taqrīb kī raakh meñ
aañkh malne lageñ
us ghaḌī bhī
safedī kā ḳhālis tasavvur nahīñ
apnī marzī kī be-dāġh tasvīr ke vāste
canvas koī saada nahīñ
TuTti
TuT kar reza-reza simaTti hui saaton
ki tarah koi satah sada nahin
ek waqfe ka daman bhi dhabbon se
KHali nahin
ye nazar ka nahin asl mein
ek tazad-e-nazar ka karishma hai
warna ye auraq-e-mahtab bhi
jitne lagte hain ujle nahin
munh khuli aur luDhakti hui raat se
lamha-lamha ubalti hui raushnai ziyaada
siyah hai
wahi koele
jab shuruat taqrib ke
dhime-dhime sulagte alaw mein jalne lagen
us ghaDi
aur jab bich ke marhala mein dahakne lagen
us ghaDi
aur jab KHatm-e-taqrib ki rakh mein
aankh malne lagen
us ghaDi bhi
safedi ka KHalis tasawwur nahin
apni marzi ki be-dagh taswir ke waste
canwas koi sada nahin
- Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 49)
- Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
- Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.