chahta hun ki tujhko nazm karun
chāhtā huuñ ki tujh ko nazm karūñ
phuul se khil uThe haiñ nazroñ meñ
mushk sī ghul ga.ī hai sāñsoñ meñ
nuur sā bhar gayā hai āñkhoñ meñ
harf uljhe hue haiñ sochoñ meñ
nuur ko kaise harf meñ Dhālūñ
phuul ko kaise she'r meñ gūñdhūñ
mushk ko kaise nazm kar Dālūñ
der se haath meñ qalam thāme
maiñ tirā naam likkhe jaatā huuñ
bas tirā naam hī mukammal hai
is se behtar bhī nazm kyā hogī
chahta hun ki tujh ko nazm karun
phul se khil uThe hain nazron mein
mushk si ghul gai hai sanson mein
nur sa bhar gaya hai aankhon mein
harf uljhe hue hain sochon mein
nur ko kaise harf mein Dhaalun
phul ko kaise she'r mein gundhun
mushk ko kaise nazm kar Dalun
der se hath mein qalam thame
main tera nam likkhe jata hun
bas tera nam hi mukammal hai
is se behtar bhi nazm kya hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.