chand aaj ki raat nahin nikla
chāñd aaj kī raat nahīñ niklā
vo apne lihāfoñ ke andar chehre ko chhupā.e baiThā hai
vo aaj kī raat na niklegā
ye raat balā kī kālī-rāt
taare use jā ke bulā.eñge
sahrā use āvāzeñ degā
bahr aur pahāḌ pukāreñge
lekin us niiñd ke maate par kuchh aisā niiñd kā jaadū hai
vo aaj kī raat na niklegā
ye raat balā kī kālī-rāt
maġhrib kī havā.eñ chīḳheñgī bahr apnā raag alāpegā
saa.eñ saa.eñ
tārīkī meñ chupke chupke sunsān bhayānak rete par
baḌhtā baḌhtā hī jā.egā
maujoñ kī musalsal yūrish meñ
vo giit barābar gaate hue
jo koī nahīñ ab tak samjhā
sabze meñ huī kuchh jumbish sī
vo kāñpā
aaheñ bharne lagā
chāñd aaj kī raat nahīñ niklā
bheḌeñ sar nīche Daale hue
chup-chāp āñkhoñ ko band kiye
maidāñ kī udaas ḳhamoshī meñ fitrat kī khulī chhat ke nīche
kyuuñ sahmī sahmī phirtī haiñ
aur bāham simTī jaatī haiñ
chāñd aaj kī raat nahīñ niklā
chāñd aaj kī raat na niklegā
chand aaj ki raat nahin nikla
wo apne lihafon ke andar chehre ko chhupae baiTha hai
wo aaj ki raat na niklega
ye raat bala ki kali-raat
tare use ja ke bulaenge
sahra use aawazen dega
bahr aur pahaD pukarenge
lekin us nind ke mate par kuchh aisa nind ka jadu hai
wo aaj ki raat na niklega
ye raat bala ki kali-raat
maghrib ki hawaen chiKHengi bahr apna rag alapega
saen saen
tariki mein chupke chupke sunsan bhayanak rete par
baDhta baDhta hi jaega
maujon ki musalsal yurish mein
wo git barabar gate hue
jo koi nahin ab tak samjha
sabze mein hui kuchh jumbish si
wo kanpa
aahen bharne laga
chand aaj ki raat nahin nikla
bheDen sar niche Dale hue
chup-chap aankhon ko band kiye
maidan ki udas KHamoshi mein fitrat ki khuli chhat ke niche
kyun sahmi sahmi phirti hain
aur baham simTi jati hain
chand aaj ki raat nahin nikla
chand aaj ki raat na niklega
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 81)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.