chand chhupne laga
chalo ghar chaleñ chāñd chhupne lagā hai
samundar bhī lagtā hai sone chalā hai
havāoñ kī raftār tham sī ga.ī hai
na aa.egā koī sahar ho chalī hai
na ab paas meñ koī patthar bachā hai
na ab bāzuoñ meñ asar rah gayā hai
saḌak kī sabhī raushnī bujh ga.ī hai
añdherā haTā raah dikhne lagī hai
na aahaT hai koī na koī bharam hai
thakī aarzū aur bojhal qadam hai
nazar par baġhāvat asar kar rahī hai
zamīñ bhiig kar tar-ba-tar ho chalī hai
chalo ghar chaleñ chāñd chhupne lagā hai
chalo ghar chalen chand chhupne laga hai
samundar bhi lagta hai sone chala hai
hawaon ki raftar tham si gai hai
na aaega koi sahar ho chali hai
na ab pas mein koi patthar bacha hai
na ab bazuon mein asar rah gaya hai
saDak ki sabhi raushni bujh gai hai
andhera haTa rah dikhne lagi hai
na aahaT hai koi na koi bharam hai
thaki aarzu aur bojhal qadam hai
nazar par baghawat asar kar rahi hai
zamin bhig kar tar-ba-tar ho chali hai
chalo ghar chalen chand chhupne laga hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.