chand hum donon se mushabah hai
guzishta raat puure chāñd kī shab thī
pas-e-dahlīz tum thiiñ
aur maiñ nā-ḳhvāsta qadmoñ se bāhar kī taraf jaate hue āñkhoñ hī āñkhoñ meñ
tumheñ ḳhud meñ samotā jā rahā thā
bhalā kab tak ye manzar saath detā!
'ḳhudā-hāfiz' ke lamhe ba.ad darvāza muqaffal ho chukā thā
aur āñkhoñ kī rasā.ī se tumhārā jagmagātā husn ojhal ho chukā thā
(magar maiñ band darvāze kī jānib dekhnā bhī ishq ke ādāb kā hissa samajhtā huuñ)
udhar kamre kī chhat ke ain-ūpar, āsmāñ par
chaudhvīñ kā chāñd raushan thā
tumhārī hī shabāhat thī
mujhe to yuuñ lagā jaise falak par bhī tumhārā husn hī mahtāb ban kar jagmagātā hai
magar phir yuuñ lagā jaise ki ye mahtāb ik chehra nahīñ ik aañkh hai jis meñ
kisī ko dekhte rahne kī ḳhvāhish jhilmilātī hai
to ye jaanā ki us kamre kī chhat ke ain-ūpar, āsmāñ par
maiñ ne apnī aañkh rakh dī
guzishta raat pure chand ki shab thi
pas-e-dahliz tum thin
aur main na-KHwasta qadmon se bahar ki taraf jate hue aankhon hi aankhon mein
tumhein KHud mein samota ja raha tha
bhala kab tak ye manzar sath deta!
'KHuda-hafiz' ke lamhe baad darwaza muqaffal ho chuka tha
aur aankhon ki rasai se tumhaara jagmagata husn ojhal ho chuka tha
(magar main band darwaze ki jaanib dekhna bhi ishq ke aadab ka hissa samajhta hun)
udhar kamre ki chhat ke ain-upar, aasman par
chaudhwin ka chand raushan tha
tumhaari hi shabahat thi
mujhe to yun laga jaise falak par bhi tumhaara husn hi mahtab ban kar jagmagata hai
magar phir yun laga jaise ki ye mahtab ek chehra nahin ek aankh hai jis mein
kisi ko dekhte rahne ki KHwahish jhilmilati hai
to ye jaana ki us kamre ki chhat ke ain-upar, aasman par
main ne apni aankh rakh di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.