chand jaanta hai
piñjra khulā
qufl TūTne kī āvāz
ik aisā giit banī
jo sadiyoñ baad lauTne vaalī ḳhushī pe gaayā jaa.e
āzād kiye jā chuke ho
muqayyad rahnā manzil nahīñ
shādmānī ke saare sur
tumhāre paroñ se nikalte haiñ
tumhāre qabīle kī ik ḳhushbū
udāsī zeb-e-tan kiye
bhaTak rahī hai
ye qaus-o-quzah se rangīn ufuq
sadā.eñ de rahe haiñ
betāb nigāheñ
jānib-e-falak
mohabbat ke pairāhan sajā.e
muntazir haiñ
āsmān-e-ulfat
apnī āġhosh-e-mādarī meñ lene ko betāb hai
tumhāre dīdār kī hasrat meñ
dahaktī huī
raah taktī āñkheñ
is dilkash manzar meñ khonā chāhtī haiñ
jab tum in se mahv-e-kalām ho
shab ke āḳhirī pahar
kisī bhaTke hue parinde kī
pur-soz sargoshī
aur us kī uḌaan kā dukh
chāñd jāntā hai
pinjra khula
qufl TuTne ki aawaz
ek aisa git bani
jo sadiyon baad lauTne wali KHushi pe gaya jae
aazad kiye ja chuke ho
muqayyad rahna manzil nahin
shadmani ke sare sur
tumhaare paron se nikalte hain
tumhaare qabile ki ek KHushbu
udasi zeb-e-tan kiye
bhaTak rahi hai
ye qaus-o-quzah se rangin ufuq
sadaen de rahe hain
betab nigahen
jaanib-e-falak
mohabbat ke pairahan sajae
muntazir hain
aasman-e-ulfat
apni aaghosh-e-madari mein lene ko betab hai
tumhaare didar ki hasrat mein
dahakti hui
rah takti aankhen
is dilkash manzar mein khona chahti hain
jab tum in se mahw-e-kalam ho
shab ke aaKHiri pahar
kisi bhaTke hue parinde ki
pur-soz sargoshi
aur us ki uDan ka dukh
chand jaanta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.