chand-nagar se KHat aaya hai
chāñd-nagar se ḳhat aayā hai
dekhnā is meñ kyā likkhā hai
is meñ likhā hai pyāre bachcho
maiñ ākāsh pe baiThā baiThā
tum sab logoñ kī duniyā ko
ḳhāmoshī se dekh rahā huuñ
is meñ likhā hai pyārī duniyā
pahle kitnī bholī-bhālī
niilī barf ke gole jaisī
sundar sī achchhī lagtī thī
is meñ likkhā pyāre bachcho
ab ye ḳhuun kī rangat jaisī
ab ye aag ke sho.aloñ jaisī
surḳh nazar aayā kartī hai
is meñ likhā hai is duniyā ko
kyoñ tārīkī ne gherā hai
nafrat kī ghanghor ghaTā kā
kyoñ kaalā bādal chhāyā hai
is meñ likhā hai achchhe bachche
pyaar ke raushan diye jalāo
mujh se ujlī raushnī le lo
apnī duniyā ko chamkāo
chāhe maiñ paḌ jā.ūñ maañd
faqat tumhārā pyārā chāñd
chāñd-nagar se ḳhat aayā hai
dekhnā is meñ kyā likkhā hai
chand-nagar se KHat aaya hai
dekhna is mein kya likkha hai
is mein likha hai pyare bachcho
main aakash pe baiTha baiTha
tum sab logon ki duniya ko
KHamoshi se dekh raha hun
is mein likha hai pyari duniya
pahle kitni bholi-bhaali
nili barf ke gole jaisi
sundar si achchhi lagti thi
is mein likkha pyare bachcho
ab ye KHun ki rangat jaisi
ab ye aag ke shoalon jaisi
surKH nazar aaya karti hai
is mein likha hai is duniya ko
kyon tariki ne ghera hai
nafrat ki ghanghor ghaTa ka
kyon kala baadal chhaya hai
is mein likha hai achchhe bachche
pyar ke raushan diye jalao
mujh se ujli raushni le lo
apni duniya ko chamkao
chahe main paD jaun mand
faqat tumhaara pyara chand
chand-nagar se KHat aaya hai
dekhna is mein kya likkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.