chaaragar
ab kise chārāgar-e-dard kaheñ
dard hotā hai har ik aan sivā
dard pahle bhī to hotā thā bahut
saḳht aur aisā ki jaañ kā dushman
maut aane ke yaqīñ kā hamdam
zinda rahne ke gumāñ kā dushman
lekin us dard kī kuchh aur thī baat
dard uThtā bhī hai dil meñ ki nahīñ uThtā hai
hone paatā hī na thā is kā kisī pal ehsās
hone paatā na thā ik aan ye ojhal ehsās
ki jo begāne hoñ dukh ko na samajhne vaale
un se dukh-dard na pā.eñge to kyā pā.eñge
lekin ab koī bhī begāna nahīñ
aur is baat kā dukh hotā hai har aan bahut
aur dil hotā hai rah rah ke pareshān bahut
ki nazar aate haiñ yuuñ ziist ke sāmān bahut
aur phir ziist ke sāmān yakāyak
dekhte hī dekhte ho jaate haiñ patthar kyūñkar
yuuñ nazar aate to haiñ ziist ke sāmān bahut
phir bhī jiine se hai bezār har ik jaan bahut
aur ab koī bhī begāna nahīñ
dard hotā hai har ik aan sivā
ab kise chārāgar-e-dard kaheñ
ab kise chaaragar-e-dard kahen
dard hota hai har ek aan siwa
dard pahle bhi to hota tha bahut
saKHt aur aisa ki jaan ka dushman
maut aane ke yaqin ka hamdam
zinda rahne ke guman ka dushman
lekin us dard ki kuchh aur thi baat
dard uThta bhi hai dil mein ki nahin uThta hai
hone pata hi na tha is ka kisi pal ehsas
hone pata na tha ek aan ye ojhal ehsas
ki jo begane hon dukh ko na samajhne wale
un se dukh-dard na paenge to kya paenge
lekin ab koi bhi begana nahin
aur is baat ka dukh hota hai har aan bahut
aur dil hota hai rah rah ke pareshan bahut
ki nazar aate hain yun zist ke saman bahut
aur phir zist ke saman yakayak
dekhte hi dekhte ho jate hain patthar kyunkar
yun nazar aate to hain zist ke saman bahut
phir bhi jine se hai bezar har ek jaan bahut
aur ab koi bhi begana nahin
dard hota hai har ek aan siwa
ab kise chaaragar-e-dard kahen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.