chamgadaD
parinda to nahīñ huuñ
phir bhī shahpar kā azaab
apne tavāfoñ meñ sameTe
bun rahā huuñ hindisa be-ḳhvāb rātoñ kā
ki nā-bīnā jahānoñ meñ
basārat ko samā.at meñ piro kar jāgtā huuñ maiñ
badan ko dā.eroñ kī zad pe kho kar jāgtā huuñ maiñ
mire chehre meñ dozaḳh ke sharāroñ kā baserā hai
mirī āvāz ne apnī umūdī guuñj phailā kar
tumhāre gumbad o mehrāb kī tanhā.ī toḌī hai
parinda to nahīñ huuñ
phir bhī lā-yānī paroñ ko taultā rahtā huuñ
ik be-nām gardish meñ
bikhartī shaam kī parchhā.īñ se ījād hai merī
falak buniyād hai merī
izāfī āsmānoñ meñ muqayyad paañv haiñ mere
mire qadmoñ meñ jannat hai
parinda to nahin hun
phir bhi shahpar ka azab
apne tawafon mein sameTe
bun raha hun hindisa be-KHwab raaton ka
ki na-bina jahanon mein
basarat ko samaat mein piro kar jagta hun main
badan ko daeron ki zad pe kho kar jagta hun main
mere chehre mein dozaKH ke shararon ka basera hai
meri aawaz ne apni umudi gunj phaila kar
tumhaare gumbad o mehrab ki tanhai toDi hai
parinda to nahin hun
phir bhi la-yani paron ko taulta rahta hun
ek be-nam gardish mein
bikharti sham ki parchhain se ijad hai meri
falak buniyaad hai meri
izafi aasmanon mein muqayyad panw hain mere
mere qadmon mein jannat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.