chand aansu
Interesting Fact
سورگیہ بانیؔ کی نذر
ġhazal sadāoñ kā ek jangal
taras rahā hai
buland-o-bālā ghanere bargad kī shāḳh-dar-shāḳh
sansanāhaT ke zamzamoñ ko ki dar-haqīqat
buland-o-bālā ghanere bargad kī infirādī tanāvarī ko
fanā kī dīmak nigal ga.ī hai
ġhazal jo urdu adab ke barr-e-saġhīr par thī
na.e taqāzoñ na.e salīqoñ kā ik himāla-sifat sarāpā
vo apnī choTī se munqata.a hai
ki ab vo choTī nahīñ rahī hai
ġhazal kī is aabrū ke badle
bas ab to yādoñ kī ḳhalvatoñ meñ
sulagtī sochoñ meñ saañs lete
chand ik fasāne
matā.a-e-ahbāb rah ga.e haiñ
vo chand barsoñ kī ik rifāqat
jo rasm-o-rah ke
aTuuT sangam meñ Dhal chukī thī
bas ek lamhe kī tund karvaT ne chhīn lī hai
harīm-e-dil
karb-gāh-e-iz.hār ban ga.ī hai
laboñ pe ab mohr-e-ḳhāmushī hai
kise sunā.eñ vo dil kī dhaḌkan
jise javāboñ kā iltifāt-e-shu.ūr-añgez
be-mahābā jhiñjhoḌ kar
us kī fikriyātī amiiq partoñ meñ soī soī sī
rūh-e-ehsās ko jagā.e
junūñ ko mahmez-e-ġham dikhā.e
parind-e-taḳh.īl ko uḌaa.e
ḳhalā kī iqlīm kā musāfir
jahāñ vo uTh kar chalā gayā hai
vahāñ ḳhalā kā savāl kyā hai
ḳhalā to ab us ke pīchhe pīchhe hī rah gayā hai
jahāñ ham aise faqīr tahlīl ho ke 'rāhī'
vajūd bhī apnā kho chuke haiñ
bahut mukāfāt-e-be-vajūdī ko ro chuke haiñ
ghazal sadaon ka ek jangal
taras raha hai
buland-o-baala ghanere bargad ki shaKH-dar-shaKH
sansanahaT ke zamzamon ko ki dar-haqiqat
buland-o-baala ghanere bargad ki infiradi tanawari ko
fana ki dimak nigal gai hai
ghazal jo urdu adab ke barr-e-saghir par thi
nae taqazon nae saliqon ka ek himala-sifat sarapa
wo apni choTi se munqata hai
ki ab wo choTi nahin rahi hai
ghazal ki is aabru ke badle
bas ab to yaadon ki KHalwaton mein
sulagti sochon mein sans lete
chand ek fasane
mataa-e-ahbab rah gae hain
wo chand barson ki ek rifaqat
jo rasm-o-rah ke
aTuT sangam mein Dhal chuki thi
bas ek lamhe ki tund karwaT ne chhin li hai
harim-e-dil
karb-gah-e-izhaar ban gai hai
labon pe ab mohr-e-KHamushi hai
kise sunaen wo dil ki dhaDkan
jise jawabon ka iltifat-e-shuur-angez
be-mahaba jhinjhoD kar
us ki fikriyati amiq parton mein soi soi si
ruh-e-ehsas ko jagae
junun ko mahmez-e-gham dikhae
parind-e-taKHil ko uDae
KHala ki iqlim ka musafir
jahan wo uTh kar chala gaya hai
wahan KHala ka sawal kya hai
KHala to ab us ke pichhe pichhe hi rah gaya hai
jahan hum aise faqir tahlil ho ke 'rahi'
wajud bhi apna kho chuke hain
bahut mukafat-e-be-wajudi ko ro chuke hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.