chand buDhi nazmen
1
potī se daadī banñe ke lambe safar meñ
aisā koī paḌāv nahīñ aaya thā jis par
ruk ke taaza dam hone kī
sūkhī soñdhī payāl pe paḌ ke
mīThe mīThe sapnoñ meñ so jaane kī mohlat miltī
ab manzil par aa ke thak ke chuur paḌī vo
mīThe sapnoñ meñ so jaane kī koshish
karte karte kyā behāl huī jaatī hai
khāñs khāñs ke saarī raat guzar jaatī hai
2
bhare-pure mahloñ jaise is ghar kā
ik ik kamra
apne apne naam se ab reserve karā rakkhā hai sabhoñ ne
vo jo barsātī meñ biitī yādeñ oḌh ke leTā
apne din gintā hai
name plate pe ghar ke usī būḌhe kā naam
likhā huā hai baḌe baḌe harfoñ meñ
3
rasta bilkul saaf hai
puḳhta sīdhī saḌak hai
niile vaale baaġh ke phūloñ se milne rozāna
jaayā jā saktā hai lekin kaise
soch ke hī pairoñ meñ aiñThan hone lagtī hai
aur dam be-dam hone lagtā hai
4
betābi se DhūñD rahā hai kaise pā.egā ab
vo sab kuchh jo chhoḌ gayā thā
na.e na.e sāmānoñ se ghar chhat tak aTā paḌā hai
pahle jo rakkhā thā yahāñ vo un meñ dab kar
TuuT ke chaknā-chūr huā yā koī kabāḌī
saste dāmoñ le ke gayā ye kaun batā.e
taal pe us ke laa.e hue stereo music system ke
sab thirak rahe haiñ
aise shor-sharābe meñ ab us kī kaun sunegā
pahle ghar vāloñ se i s D par
mintoñ kā hī rābta ik qaa.em to ho jaatā thā
1
poti se dadi banne ke lambe safar mein
aisa koi paDaw nahin aaya tha jis par
ruk ke taza dam hone ki
sukhi sondhi payal pe paD ke
miThe miThe sapnon mein so jaane ki mohlat milti
ab manzil par aa ke thak ke chur paDi wo
miThe sapnon mein so jaane ki koshish
karte karte kya behaal hui jati hai
khans khans ke sari raat guzar jati hai
2
bhare-pure mahlon jaise is ghar ka
ek ek kamra
apne apne nam se ab reserwe kara rakkha hai sabhon ne
wo jo barsati mein biti yaaden oDh ke leTa
apne din ginta hai
name plate pe ghar ke usi buDhe ka nam
likha hua hai baDe baDe harfon mein
3
rasta bilkul saf hai
puKHta sidhi saDak hai
nile wale bagh ke phulon se milne rozana
jaya ja sakta hai lekin kaise
soch ke hi pairon mein ainThan hone lagti hai
aur dam be-dam hone lagta hai
4
betabi se DhunD raha hai kaise paega ab
wo sab kuchh jo chhoD gaya tha
nae nae samanon se ghar chhat tak aTa paDa hai
pahle jo rakkha tha yahan wo un mein dab kar
TuT ke chakna-chur hua ya koi kabaDi
saste damon le ke gaya ye kaun batae
tal pe us ke lae hue stereo music system ke
sab thirak rahe hain
aise shor-sharabe mein ab us ki kaun sunega
pahle ghar walon se i s D par
minton ka hi rabta ek qaem to ho jata tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.