charKHe ka qissa
chandā māmūñ chandā māmūñ
mujh ko zarā ye samjhāo
jab ham chhoTe bachche the
daadī se kahānī sunte the
ki chāñd pe buḌhiyā rahtī thī
vo charḳhā kaatā kartī thī
ham kachche ḳhvāboñ meñ aksar
vo buḌhiyā dekhā karte the
aur phir ye sochā karte the
vo buḌhiyā kitnī pyārī hai
jo ḳhvāb meñ aksar aatī hai
aur pyaar se lorī gaatī hai
aur merā jī bahlātī hai
charḳhe kā qissa sunātī hai
chandā māmūñ chandā māmūñ
ye baat tumhī ab batlāo
ab ye uljhan bhī suljhāo
vo buḌhiyā ab bhī dikhlāo
jo vaqt kī āñdhī ne yak-dam
nazroñ se ojhal kardī hai
kyoñ DhūñDne se miltī hī nahīñ
kyā saare qisse bhuul ga.ī
kyā muñh pherā aur ruuTh ga.ī
yā ham insānoñ ne us ko
ḳhud chāñd-badar kar Daalā hai
chandā māmūñ dukh se bole
ye vaqt kī kaisī karvaT hai
insāñ ne zamīñ ko dhuñdlāyā
phir chāñd ko bhī hai gahnāyā
buḌhiyā ke nishān miTāne ko
vo chāñd talak bhī hai aaya
chanda mamun chanda mamun
mujh ko zara ye samjhao
jab hum chhoTe bachche the
dadi se kahani sunte the
ki chand pe buDhiya rahti thi
wo charKHa kata karti thi
hum kachche KHwabon mein aksar
wo buDhiya dekha karte the
aur phir ye socha karte the
wo buDhiya kitni pyari hai
jo KHwab mein aksar aati hai
aur pyar se lori gati hai
aur mera ji bahlati hai
charKHe ka qissa sunati hai
chanda mamun chanda mamun
ye baat tumhi ab batlao
ab ye uljhan bhi suljhao
wo buDhiya ab bhi dikhlao
jo waqt ki aandhi ne yak-dam
nazron se ojhal kardi hai
kyon DhunDne se milti hi nahin
kya sare qisse bhul gai
kya munh phera aur ruTh gai
ya hum insanon ne us ko
KHud chand-badar kar Dala hai
chanda mamun dukh se bole
ye waqt ki kaisi karwaT hai
insan ne zamin ko dhundlaya
phir chand ko bhi hai gahnaya
buDhiya ke nishan miTane ko
wo chand talak bhi hai aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.