chaTTan
bachpan se maañ kī dī huī
siikh par chalī huuñ maiñ
aaj bhī chal rahī huuñ
aur aage bhī chalnā chāhtī huuñ
par kabhī kabhī mahsūs hotā hai
thakan kā ek bojh apne dil aur dimāġh par
aksar zehn meñ uThte haiñ ka.ī savāl
kyā hāsil honā hai mujhe is raah par
kab tak yuuñ hī chaltī rahūñgī
apne chāroñ jānib jab dekhtī huuñ
jhuuT kī ūñchī imārateñ
to ḳhayāl aatā hai
merā sach to sahrā meñ uḌtī
ḳhaak sā hai
merā vajūd yak-ba-yak anāsir kā Dher lagtā hai
aur maiñ ḳhud se hī ghabrā jaatī huuñ saham jaatī huuñ
phir yaad aatī hai
maañ kī bachpan meñ dī huī siikh
saphal vahī hote haiñ jo sachche hote hai
ye ḳhayāl aate hī na.e josh meñ
apne thake bikhre TuuTe badan ko sameT kar
ḳhaak se chaTTān kī shakl iḳhtiyār kartī huuñ
aur tayyār kartī huuñ ḳhud ko ek baar phir
jhuuT kī imāratoñ se jañg karne ke liye
bachpan se man ki di hui
sikh par chali hun main
aaj bhi chal rahi hun
aur aage bhi chalna chahti hun
par kabhi kabhi mahsus hota hai
thakan ka ek bojh apne dil aur dimagh par
aksar zehn mein uThte hain kai sawal
kya hasil hona hai mujhe is rah par
kab tak yun hi chalti rahungi
apne chaaron jaanib jab dekhti hun
jhuT ki unchi imaraten
to KHayal aata hai
mera sach to sahra mein uDti
KHak sa hai
mera wajud yak-ba-yak anasir ka Dher lagta hai
aur main KHud se hi ghabra jati hun saham jati hun
phir yaad aati hai
man ki bachpan mein di hui sikh
saphal wahi hote hain jo sachche hote hai
ye KHayal aate hi nae josh mein
apne thake bikhre TuTe badan ko sameT kar
KHak se chaTTan ki shakl iKHtiyar karti hun
aur tayyar karti hun KHud ko ek bar phir
jhuT ki imaraton se jang karne ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.