chaudhwin ka chand
ḳhayāl-o-fikr ke bikhre hue havāloñ meñ
visāl hijr mohabbat kī sab misāloñ meñ
zamīñ se duur kahīñ āsmāñ ke
tāroñ meñ
liye ye 'aks utartā hai ābshāroñ meñ
shumār is kā hai aksar hī
shab-guzāroñ meñ
ye sogvār sā lagtā hai
sogvāroñ meñ
magar vo husn kā 'ālam ki
jab ye puurā ho aur
āb-o-tāb se har baam par
utar aa.e to phir shabāb sabhī
kā.enāt par is kā asar vo chhoḌe ki
lamhe asiir ho jaa.eñ
kise ḳhabar hai ki dasht-e-suḳhan ke
māroñ kā
gavāh hotā hai ye chāñd ashk-bāroñ kā
garhan khā ke ye aksar payām detā hai
ki lamha bhar ko agar raushnā.ī kho jaa.e
dubāra
niklo isī āb-o-tāb se niklo
ghaTo kahīñ pe to baḌh kar hasīn
ho jaao ye chāñd chaudah kā
kitnā hasīn hotā hai
ye shab ke kitne hī asrār khol jaatā hai
KHayal-o-fikr ke bikhre hue hawalon mein
visal hijr mohabbat ki sab misalon mein
zamin se dur kahin aasman ke
taron mein
liye ye 'aks utarta hai aabshaaron mein
shumar is ka hai aksar hi
shab-guzaron mein
ye sogwar sa lagta hai
sogwaron mein
magar wo husn ka 'alam ki
jab ye pura ho aur
aab-o-tab se har baam par
utar aae to phir shabab sabhi
kaenat par is ka asar wo chhoDe ki
lamhe asir ho jaen
kise KHabar hai ki dasht-e-suKHan ke
maron ka
gawah hota hai ye chand ashk-baron ka
garhan kha ke ye aksar payam deta hai
ki lamha bhar ko agar raushnai kho jae
dubara
niklo isi aab-o-tab se niklo
ghaTo kahin pe to baDh kar hasin
ho jao ye chand chaudah ka
kitna hasin hota hai
ye shab ke kitne hi asrar khol jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.