chaukor bandar kī chhalāñg se sab hairat meñ paḌ ga.e
dūsre bandar to chhalāñgeñ lagāyā hī karte the
lekin kisī chaukor bandar ne aaj tak chhalāñg nahīñ lagā.ī thī
sab ne yak-zabān ho kar kahā
chaukor bandar ham sab meñ afzal hai
kyūñki chhalāñg to ham sab lagā lete haiñ
lekin vo chaukor bhī hai
aur un meñ sab ek jo zyāda samajh buujh rakhtā thā bolā
kyā tum dekhte nahīñ
ki chaukor shakl hī sab se achchhī shakl hai
kyūñki is meñ chaar pahlū hote haiñ
jo chaar jihatoñ kī nishān-dahī karte haiñ
aur chaar zāviye hote haiñ
jo chaar mausamoñ kī alāmat haiñ
aur sab ne kahā haañ aisā hī hai
to phir vo sab chaukor bandar ke gird jam.a ho ga.e
aur der tak aqīdat se use dekhte rahe
chaukor bandar ki chhalang se sab hairat mein paD gae
dusre bandar to chhalangen lagaya hi karte the
lekin kisi chaukor bandar ne aaj tak chhalang nahin lagai thi
sab ne yak-zaban ho kar kaha
chaukor bandar hum sab mein afzal hai
kyunki chhalang to hum sab laga lete hain
lekin wo chaukor bhi hai
aur un mein sab ek jo zyaada samajh bujh rakhta tha bola
kya tum dekhte nahin
ki chaukor shakl hi sab se achchhi shakl hai
kyunki is mein chaar pahlu hote hain
jo chaar jihaton ki nishan-dahi karte hain
aur chaar zawiye hote hain
jo chaar mausamon ki alamat hain
aur sab ne kaha han aisa hi hai
to phir wo sab chaukor bandar ke gird jama ho gae
aur der tak aqidat se use dekhte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.