chauraha
mire siine ke jangal se
ka.ī raste nikalte haiñ
yahāñ se ek pagDanDī ḳhat-e-tārīk par chaltī
shu’ūrī lā-shu'ūrī sarhadoñ ke paar jaatī hai
kabhī us samt mat jaanā
vahāñ par azhdahe rahte haiñ maazī ke
nigal lete haiñ aane vaale raushan din
yahīñ se ek chamkīlī chakā-chauñdī saḌak duniyā ko jaatī hai
havas range ishāroñ se bulātī hai
udhar ko mat chalī jaanā
vahāñ sab bheḌiye baiThe haiñ
khā jaate haiñ ḳhvāboñ aur ummīdoñ ke nāzuk tan
yahāñ se ūñchā nīchā rāsta muḌ kar
hisābī soch kī jānib nikaltā hai
vahāñ sūd-o-ziyāñ ke anginat bichchhū haiñ
Das lete haiñ jazboñ ko
mire siine ke jangal se bahut raste nikalte haiñ
ye sīdhā saaf sachchā rāsta
narmī se mere dil kī vaadī meñ phisaltā hai
suhūlat se chalī aao
yahāñ phūloñ ke taḳhtoñ ke sivā kuchh bhī nahīñ rakkhā
mere sine ke jangal se
kai raste nikalte hain
yahan se ek pagDanDi KHat-e-tarik par chalti
shu’uri la-shu'uri sarhadon ke par jati hai
kabhi us samt mat jaana
wahan par azhdahe rahte hain mazi ke
nigal lete hain aane wale raushan din
yahin se ek chamkili chaka-chaundi saDak duniya ko jati hai
hawas range ishaaron se bulati hai
udhar ko mat chali jaana
wahan sab bheDiye baiThe hain
kha jate hain KHwabon aur ummidon ke nazuk tan
yahan se uncha nicha rasta muD kar
hisabi soch ki jaanib nikalta hai
wahan sud-o-ziyan ke anginat bichchhu hain
Das lete hain jazbon ko
mere sine ke jangal se bahut raste nikalte hain
ye sidha saf sachcha rasta
narmi se mere dil ki wadi mein phisalta hai
suhulat se chali aao
yahan phulon ke taKHton ke siwa kuchh bhi nahin rakkha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.