chhanw se dhup tak
Interesting Fact
امی جان کی یاد میں
maiñ jahāñ bhī gayā maiñ jidhar bhī gayā
chhāñv hī chhāñv thā zindagī kā safar
ġham kī zarra barābar kahīñ dhuup bhī
merī rāhoñ meñ haa.il huī hī nahīñ
is khule āsmāñ ke tale hī kabhī
dast-e-shafqat tirā mujh ko chhat sā lagā
aur terī taraf dekhte dekhte
kā’ba-o-qibla maiñ ne bhī dekhe bahut
ḳhauf-o-dahshat pareshānī aur ranj-o-ġham
tere hote hue mujh se the ajnabī
aur duniyā ke mausam ke uḌte sharar
mujh ko ThanDī havāoñ ke jhoñke lage
koī ḳhauf-e-ḳhizāñ dil pe taarī na thā
dil kā gulshan bahāroñ se ābād thā
aaj tere na hone ke ehsās se
chāñd TuuTā huā ik khilaunā lagā
mere dāman ke raushan sitāre sabhī
tīrgī ke achānak havāle hue
gulshan-e-zindagī bhī sulagne lagā
ḳhaak hī ḳhaak har samt uḌne lagī
sub.h bhī turbat-e-shām meñ dab ga.ī
apne andāz se neza-e-raushnī
merī shab ko bhī majrūh karne lagā
mere misre bhī mujh se ḳhafā ho ga.e
merā shā'ir bhī ḳhāmosh rahne lagā
aaj ruk ruk ke maiñ sochtā huuñ yahī
maiñ vahī huuñ safar bhī vahī hai mirā
manzileñ bhī vahī rāste bhī vahī
duur tak mere chalne kī zid bhī vahī
haañ magar aise hālāt ke darmiyāñ
chhāñv se dhuup tak kā mirā ye safar
dast-e-shafqat se ab tere mahrūm hai
main jahan bhi gaya main jidhar bhi gaya
chhanw hi chhanw tha zindagi ka safar
gham ki zarra barabar kahin dhup bhi
meri rahon mein hail hui hi nahin
is khule aasman ke tale hi kabhi
dast-e-shafqat tera mujh ko chhat sa laga
aur teri taraf dekhte dekhte
ka’ba-o-qibla main ne bhi dekhe bahut
KHauf-o-dahshat pareshani aur ranj-o-gham
tere hote hue mujh se the ajnabi
aur duniya ke mausam ke uDte sharar
mujh ko ThanDi hawaon ke jhonke lage
koi KHauf-e-KHizan dil pe tari na tha
dil ka gulshan bahaaron se aabaad tha
aaj tere na hone ke ehsas se
chand TuTa hua ek khilauna laga
mere daman ke raushan sitare sabhi
tirgi ke achanak hawale hue
gulshan-e-zindagi bhi sulagne laga
KHak hi KHak har samt uDne lagi
subh bhi turbat-e-sham mein dab gai
apne andaz se neza-e-raushni
meri shab ko bhi majruh karne laga
mere misre bhi mujh se KHafa ho gae
mera sha'ir bhi KHamosh rahne laga
aaj ruk ruk ke main sochta hun yahi
main wahi hun safar bhi wahi hai mera
manzilen bhi wahi raste bhi wahi
dur tak mere chalne ki zid bhi wahi
han magar aise haalat ke darmiyan
chhanw se dhup tak ka mera ye safar
dast-e-shafqat se ab tere mahrum hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.