chhalni chhalni saeban
tamāzat se mahrūm afkār ke zard sūraj ugal kar
sabhī apne aslāf kī khopaḌiyoñ kī mālā.eñ pahne
ajanme hue apne bachchoñ kī shakloñ ko
bārūd ke Dher par rakh rahe haiñ
vo bachche jinheñ janm lenā paḌā thā
vo apne gharoñ meñ añdhere sajā kar
charāġhoñ ko apnī hī qabroñ pe rakhne
chale aa rahe haiñ
yahāñ maañ ke siine se ukhḌī huī
chhātiyāñ
milk powder se bharne
na.ī nasl bāzār meñ aa chukī hai
kitāboñ ke ambār se ugne vaalī
ye tahzīb
apne ḳhudāoñ ko āvāz dene lagī hai
magar amn kī saarī jebeñ haiñ ḳhālī
vo saare ḳhudā ġhair-mahfūz haiñ
tamazat se mahrum afkar ke zard suraj ugal kar
sabhi apne aslaf ki khopaDiyon ki malaen pahne
ajanme hue apne bachchon ki shaklon ko
barud ke Dher par rakh rahe hain
wo bachche jinhen janm lena paDa tha
wo apne gharon mein andhere saja kar
charaghon ko apni hi qabron pe rakhne
chale aa rahe hain
yahan man ke sine se ukhDi hui
chhatiyan
milk powder se bharne
nai nasl bazar mein aa chuki hai
kitabon ke ambar se ugne wali
ye tahzib
apne KHudaon ko aawaz dene lagi hai
magar amn ki sari jeben hain KHali
wo sare KHuda ghair-mahfuz hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.