chhink
Interesting Fact
(Monthly: Masarrat, Patna, January 1967)
maiñ ne pūchhā hakīm daadā se
chhī.k āḳhir kahāñ se aatī hai
muskurā kar javāb unhoñ ne diyā
naak ke darmiyāñ se aatī hai
maiñ ne un se kahā ki dādā-jān
is se matlab to hal nahīñ hotā
tab vo bole ki naak kī jaḌ meñ
ek hotā hai chhī.k kā khotā
chhī.k rahtī hai apne khote meñ
apne anDe usī meñ detī hai
bāhar aanā ho jab kabhī us ko
ek bharpūr uḌaan letī hai
chhī.k ko chheḌte bhī haiñ kuchh log
le ke nasvār Daal kar battī
is se vo kulbulā ke uThtī hai
zor se jhāḌtī hai dolattī
jab nikalte haiñ chhī.k ke bachche
aadmī ko zukām hotā hai
aañkh jaltī hai naak bahtī hai
saañs lenā harām hotā hai
sun ke ye dāstān-e-vahshat-nāk
naak meñ chyūñTiyāñ sī reñg ga.iiñ
merā saarā vajūd Dol gayā
ek bhauñchāl aa gayā hāchīñ
main ne puchha hakim dada se
chhik aaKHir kahan se aati hai
muskura kar jawab unhon ne diya
nak ke darmiyan se aati hai
main ne un se kaha ki dada-jaan
is se matlab to hal nahin hota
tab wo bole ki nak ki jaD mein
ek hota hai chhik ka khota
chhik rahti hai apne khote mein
apne anDe usi mein deti hai
bahar aana ho jab kabhi us ko
ek bharpur uDan leti hai
chhik ko chheDte bhi hain kuchh log
le ke naswar Dal kar batti
is se wo kulbula ke uThti hai
zor se jhaDti hai dolatti
jab nikalte hain chhik ke bachche
aadmi ko zukaam hota hai
aankh jalti hai nak bahti hai
sans lena haram hota hai
sun ke ye dastan-e-wahshat-nak
nak mein chyunTiyan si reng gain
mera sara wajud Dol gaya
ek bhaunchaal aa gaya hachin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.