chhuTTi ka ek din
ek din chhuTTī kā yuuñ guzrā
ki mujh ko dikh ga.e sātoñ tabaq
chāñd kī buḌhiyā
ḳhalāoñ kī hadeñ
sūraj kā ghar
aur kyā dekhā kahāñ dekhā bayāñ kartā chalūñ
shahr se bāhar samundar ke qarīb
ret par phailā huā rangīñ javāñ jismoñ kā gosht
jā-ba-jā phaile hue
bustān rāneñ piñDliyāñ
sharm-gāheñ apnī kuttoñ se chhupā.e laḌkiyāñ
aur jo dekhā
vo āñkheñ dekh kar pathrā ga.iiñ
aur maiñ
dozaḳh-zada jannat meñ baiThā rah gayā
ek din chhuTTi ka yun guzra
ki mujh ko dikh gae saton tabaq
chand ki buDhiya
KHalaon ki haden
suraj ka ghar
aur kya dekha kahan dekha bayan karta chalun
shahr se bahar samundar ke qarib
ret par phaila hua rangin jawan jismon ka gosht
ja-ba-ja phaile hue
bustan ranen pinDliyan
sharm-gahen apni kutton se chhupae laDkiyan
aur jo dekha
wo aankhen dekh kar pathra gain
aur main
dozaKH-zada jannat mein baiTha rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.