chiDiyan
mil mil kar haTnā pattoñ kā
tham tham kar khilnā kaliyoñ kā
Takrā.e jaanā lahroñ kā
jagmag hai mandir naġhmoñ kā
pyārī chiḌiyo chahke jaao
sūraj kī chanchal kirnoñ se
Dhalte haiñ jab raag tumhāre
aise rangīñ aise mīThe
kyā hoñge duniyā ke gaane
pyārī chiḌiyo chahke jaao
āñkheñ haiñ har dam hañsnā hai
dil ik rāhat kī duniyā hai
ek taḌap hai ek maza hai
jaane tum meñ kaun chhupā hai
pyārī chiḌiyo chahke jaao
rūThī huī qismat ko manā.eñ
bhaTke hue haiñ raah pe aa.eñ
apnī apnī manzil paa.eñ
haañ jab tak sab jaag na jaa.eñ
pyārī chiḌiyo chahke jaao
mil mil kar haTna patton ka
tham tham kar khilna kaliyon ka
Takrae jaana lahron ka
jagmag hai mandir naghmon ka
pyari chiDiyo chahke jao
suraj ki chanchal kirnon se
Dhalte hain jab rag tumhaare
aise rangin aise miThe
kya honge duniya ke gane
pyari chiDiyo chahke jao
aankhen hain har dam hansna hai
dil ek rahat ki duniya hai
ek taDap hai ek maza hai
jaane tum mein kaun chhupa hai
pyari chiDiyo chahke jao
ruThi hui qismat ko manaen
bhaTke hue hain rah pe aaen
apni apni manzil paen
han jab tak sab jag na jaen
pyari chiDiyo chahke jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.