chiDiyan
ye jhuuT hai
ki karāchī meñ
bārish ke ba.ad nikalne vaalī
ghaas kī koñpleñ
gahrī sabz aur narm nahīñ hotīñ
yā ye ki daraḳht
bādaloñ kī madad ke baġhair
saaya farāham nahīñ karte
ye bhī jhuuT hai
ki yahāñ ḳhargoshoñ kī āñkheñ
añdhere meñ nahīñ chamaktīñ
aur gilahriyāñ
bādām aur āḳhroT ke chhilkoñ se
nahīñ khultīñ
yā ye ki hathelī par rakhne se
bair-bahūTiyāñ zard paḌ jaatī haiñ
saañp apne hisse kā duudh
kāġhzī azdahoñ ke liye chhoḌ jaate haiñ
hamāre alāva
karāchī meñ chiḌiyāñ bhī rahtī haiñ
jo goliyoñ kī āvāz aur dhamākoñ ke bāvajūd
daraḳhtoñ par se uḌtī haiñ dīvāroñ par baiThtī haiñ
kahīñ na kahīñ jam.a ho kar
bilā-nāġha duā.eñ māñgtī haiñ
yā hamārī taraf raat bhar
apne apne Thikāne meñ chhupī rahtī haiñ
aur sub.h hone tak
bāhar nahīñ nikaltīñ
ye jhuT hai
ki karachi mein
barish ke baad nikalne wali
ghas ki konplen
gahri sabz aur narm nahin hotin
ya ye ki daraKHt
baadalon ki madad ke baghair
saya faraham nahin karte
ye bhi jhuT hai
ki yahan KHargoshon ki aankhen
andhere mein nahin chamaktin
aur gilahriyan
baadam aur aaKHroT ke chhilkon se
nahin khultin
ya ye ki hatheli par rakhne se
bair-bahuTiyan zard paD jati hain
sanp apne hisse ka dudh
kaghzi azdahon ke liye chhoD jate hain
hamare alawa
karachi mein chiDiyan bhi rahti hain
jo goliyon ki aawaz aur dhamakon ke bawajud
daraKHton par se uDti hain diwaron par baiThti hain
kahin na kahin jama ho kar
bila-nagha duaen mangti hain
ya hamari taraf raat bhar
apne apne Thikane mein chhupi rahti hain
aur subh hone tak
bahar nahin nikaltin
- Book : saarii nazmen (Pg. 406)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.