maiñ haal kā muzhda huuñ
maiñ raunaq-e-fardā huuñ
bachpan kā zamāna hai
ḳhushiyoñ kā tarāna hai
me.amār huuñ fardā kā
imroz Thikāna hai
āñkhoñ ko hamesha maiñ
sau ḳhvāb dikhātā huuñ
maiñ haal kā muzhda huuñ
maiñ raunaq-e-fardā huuñ
paḌh-likh ke baḌā banñā
maqsad bhī hai kāvish bhī
insān kī ḳhidmat kā
jazba bhī hai ḳhvāhish bhī
maiñ nek azā.em se
dil apnā sajātā huuñ
maiñ haal kā muzhda huuñ
maiñ raunaq-e-fardā huuñ
maañ baap bahan bhaa.ī
ulfat hai mujhe sab se
ustād hoñ yā ahbāb
nisbat hai mujhe sab se
ḳhidmat ke liye un kī
tayyār maiñ rahtā huuñ
maiñ haal kā muzhda huuñ
maiñ raunaq-e-fardā huuñ
maiñ rāj-dulārā huuñ
maiñ phuul se pyārā huuñ
maañ baap kī āñkhoñ kā
tābinda sitārā huuñ
maiñ un kī umīdoñ kā
markaz huuñ mudāvā huuñ
maiñ haal kā muzhda huuñ
maiñ raunaq-e-fardā huuñ
yā-rab hai duā merī
nekī ho adā merī
nādān huuñ aasī huuñ
tū baḳhsh ḳhatā merī
ḳhush mujh se zamāna ho
ye aarzū rakhtā huuñ
maiñ haal kā muzhda huuñ
maiñ raunaq-e-fardā huuñ
main haal ka muzhda hun
main raunaq-e-farda hun
bachpan ka zamana hai
KHushiyon ka tarana hai
meamar hun farda ka
imroz Thikana hai
aankhon ko hamesha main
sau KHwab dikhata hun
main haal ka muzhda hun
main raunaq-e-farda hun
paDh-likh ke baDa banna
maqsad bhi hai kawish bhi
insan ki KHidmat ka
jazba bhi hai KHwahish bhi
main nek azaem se
dil apna sajata hun
main haal ka muzhda hun
main raunaq-e-farda hun
man bap bahan bhai
ulfat hai mujhe sab se
ustad hon ya ahbab
nisbat hai mujhe sab se
KHidmat ke liye un ki
tayyar main rahta hun
main haal ka muzhda hun
main raunaq-e-farda hun
main raj-dulara hun
main phul se pyara hun
man bap ki aankhon ka
tabinda sitara hun
main un ki umidon ka
markaz hun mudawa hun
main haal ka muzhda hun
main raunaq-e-farda hun
ya-rab hai dua meri
neki ho ada meri
nadan hun aasi hun
tu baKHsh KHata meri
KHush mujh se zamana ho
ye aarzu rakhta hun
main haal ka muzhda hun
main raunaq-e-farda hun
- Book : Khushboo Khushboo Nazmen Apni (Pg. 54)
- Author : Ata Abidi
- Publication : Book Emporium,Urdu Bazar Sabzi Bagh, Patna (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.