chor chuhe aur bachche
gul abbās gulāb chambelī
geñdā champā belā huuhī
kal tak in se lade hue the
aaj udaas khaḌe haiñ paude
chūhe phuul kutar jaate haiñ
banjar ko zarḳhez banā kar
khetoñ meñ fasleñ lahrā kar
jo khaliyānoñ ko bhartā hai
vo kisān bhūkoñ martā hai
ġhalla to chūhe khāte haiñ
bachcho aisā kab tak hogā
tum chāhoge jab tak hogā
roko is sīna-zorī ko
mehnat-kash ko bhī khānā do
chūhe tum se ghabrāte haiñ
gul abbas gulab chambeli
genda champa bela huhi
kal tak in se lade hue the
aaj udas khaDe hain paude
chuhe phul kutar jate hain
banjar ko zarKHez bana kar
kheton mein faslen lahra kar
jo khaliyanon ko bharta hai
wo kisan bhukon marta hai
ghalla to chuhe khate hain
bachcho aisa kab tak hoga
tum chahoge jab tak hoga
roko is sina-zori ko
mehnat-kash ko bhi khana do
chuhe tum se ghabraate hain
- Book : kamaan(sheri kulliyat (jild avval) (Pg. 400)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.