chor darwaza khula rahta hai
mere ḳhvāb zaḳhmī hue
to duniyā ke saare zābte jhūTe lage
maiñ ne zindagī ke liye bhiik māñgī
magar ābād lamhoñ kī puujā ke liye
vaqt kabhī mere liye na rukā
mujhe west-pan se apnā.iyat mahsūs huī
log kāġhazoñ se bane khilaune the
jinheñ hamesha ḳhilāf-e-marzī nāchnā paḌā
bhīge sāhiloñ kī havā meñ ḳhuun hī ḳhuun thā
jhīloñ ke ābād kināre mujhe banjar kar ga.e
paanī par tairtā manzar daġhābāz niklā
maiñ muḳhālif samt bahtī kashtiyoñ meñ
ba-yak-vaqt savār ho gayā
bādal baras ga.e
to āsmān par dhuāñ rah gayā
maiñ ne ḳhud ko dhuveñ meñ uḌāyā
aur masrūfiyat se saudā kar liyā
mere KHwab zaKHmi hue
to duniya ke sare zabte jhuTe lage
main ne zindagi ke liye bhik mangi
magar aabaad lamhon ki puja ke liye
waqt kabhi mere liye na ruka
mujhe west-pan se apnaiyat mahsus hui
log kaghazon se bane khilaune the
jinhen hamesha KHilaf-e-marzi nachna paDa
bhige sahilon ki hawa mein KHun hi KHun tha
jhilon ke aabaad kinare mujhe banjar kar gae
pani par tairta manzar daghabaz nikla
main muKHalif samt bahti kashtiyon mein
ba-yak-waqt sawar ho gaya
baadal baras gae
to aasman par dhuan rah gaya
main ne KHud ko dhuwen mein uDaya
aur masrufiyat se sauda kar liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.